Top 10 Best Official Government Mobile Apps Features & Benifits in hindi. Aaj ish post hum sarkar ki 10 bahut helpful mobile apps ke bare me janenge. Ye sabhi government aaps aapke liye bahut useful ho sakti hai isliye aap ish post ko last tak read karen.
Digital yug me sarkar ne bhi technology ka use karke public ke liye bahut helpful mobile apps launch ki hui hain.
Ye 10 government mobile apps aapke kaam ko toa aasan banayengi hi iske alaba aapka time saving bhi karengi.
Chaliye jante hain 10 Best Government Mobile Apps jo har indian ko pata hone hi chahiye.
Chaliye dekhte hain 10 Best Government Mobile Apps jo har Indian ko pata hone chahiye.
Top 10 Best Government Mobile Apps Features & Benefits
• UMANG App
UMANG App kya hai ?
UMANG ( Unified Mobile Application For New-Age Governance )
Ye ek aisi official government super app hai jisse Ministry of Electronics and Information Technology ( MeitY ) or National e-governance Devision ( NeGD ) ne launch Kiya hai.
Iska main purpose ek app me multiple government services provide Karna hai, isse logon ko ye fayda hoga ki unhe apne mobile me alag-alag apps or websites ko download krne ki zarurat nahi padegi, ek he app se ye sare kaam ho jayenge.
Ye app Digital India Intiative ka hissa bhi hai ishme logon ko central, State Government or Local bodies ki services ek platform par mill jaati hain.
UMANG App Features
1. 1000+ Government Services :
Central or State Government ki schemes, plans or services ish ek he app main mill jaati hai.
2. EPFO Services :
PF balance check, claim status or EPF related kaam ishme aasani se hote hain.
3. PAN & Adhar Integration :
Aadhar, PAN or other IDs related services bhi ishme available hain.
4. Utility Bill Payments :
Electricity Bill, Water Bill, Gas Bill or Phone Bill Payment facilities bhi isme available hai.
5. Education Services :
Exam's results, Scholarships or School/ University se related informations bhi isme milti hain.
6. Health Services :
Ayushman Bharat, e-Hospital or health se related informations bhi isme milti hai.
7. Transport Services :
MParivahan, RTO or driving licence se related all services isme available hain.
8. Multilingual Support :
Ye app hindi or english ke sath or kai saari indian languages me available hai.
9. 24x7 Access :
Aap saari government services kabhi bhi - kahin bhi is ek he jagha par use kr sakte ho.
UMANG App Benifits
1. All in One App :
Sari government services ke liye alag-alag apps download karne ki zarurat nahi padegi.
2. Time Saving :
Ghar baithe-baithe government work aasani ke sath complete kiya ja sakta hai.
3. Transparancy & Ease :
Middleman ke bina direct goverment services ka access apke pass rehta hai.
4. Free & Secure :
Sabse bada benifit yeh ki saari services official or free hoti hain or data ki bhi puri safety rehti hai.
5. Digital India ko Support :
Paperless or cashless governance ko promote karta hai ye.
6. Citizens ke Liye Convenience :
Senior citizen se lekar student or employee tak sabhi logon ke liye services easily isme available hain.
UMANG App ek super app hai governence ke liye jo logon ko ek single Digital window system provide karata hai.
• mAadaahar App
mAadhar Kya Hai ?
mAadhar ek aisii official mobile application hai jisse UIDAI ( unique identification authority of India ) ne launch kiya hai.
Iska main purpose aadhar card ko digital form me carry or manage karna hai.
Is app ki help se aap apne adhar card se related adhiktar kaam online kabhi bhi kahi bhi kar sakte hai, jaise aadhar card se judi services, aadhaar update Karna, aadhar card download karna, lock/unlock, aadhaar authentication or verification etc. .
mAadhaar App Features
Digital Aadhaar Card :
Aap easily apna Aadhaar number or QR code ko kabhi bhi kahii bhi digitally acess kar sakte hai aur physical aadhar card har jagha carry karne ki bhi zarurat nahi padhegi.
1. Profile Management :
Is ek app me aapko multiple aadhaar profiles ( family members ke liye ) add karne ka option milta hai.
2. Online Services :
Ishme address update, Aadhaar reprint request, VID genration, PVC card order karne ki facilitys available hai.
3. Biometric Lock/Unlock :
Apne aadhaar data ko unauthorized use se bachane ke liye biometric lock/unlock ka option bhi isme milta hai.
4. Offline eKYC :
Banks, SIM verification ya koi or dusri services ke liye aadhaar based eKYC karne ki facilitie bhi available hai.
5. Aadhaar Services Status :
Aadhaar update ya PVC card request ka status aap ishme kabhi bhi check kar sakte hain.
6. Nearby Enrollment Centres :
Aap apne aas-pass ke Aadhaar seva centres easily locate kar sakte hain.
mAdhaar Benifits
1. Pocket Aadhaar :
Apko kahi bhi physical aadhar card carry karne ki zarurat nahi hai kyuki ish app ke jariye valid proof apke mobile main hamesha available rehta hai.
2. Data Security :
Biometric lock/ unlock or OTP based authentication jaisi saari services me bhi data secure rehta hai.
3. Family Aadhaar Management :
Isme apko ek he app main multiple family members ke aadhaar handle karne ka options milta hai jo bhot he helpful hai.
4.Time Saving :
Aadhaar se related sare kaam aap gahr baithe-baithe ya kahi se kabhi bhi easily kar sakte hai.
5.Legal Acceptance:
Ishme rakha digital aadhaar government offices or services providers ke liye Valid proof hai.
6. Free & Official :
Ye app puri tarah free hai koi bhi charges isme nhi lagte or ye UIDAI ka official trusted platform hai.
mAadhaar App ek identity solution hai jo aadhaar ko or bhi portable, secure, or convenient banata hai.
• BHIM UPI App
BHIM UPI App Kya Hai ?
BHIM ( Bharat interface for money )
Ek digital official payment app hai jisse NPCI ( national payments corporation of India ) ne launch kiya hai.
Ye app UPI ( unified payments interface ) par based hai isme app apne bank account se directly mobile phone ke through instantly kahin bhi kisi bhi time money transfer kar sakte hai.
Iska purpose cashless transactions, digital India initiative or easily banking ko promote karna hai.
BHIM UPI App Features
1. Instantly Money Transfer :
Kisi bhi bank account main 24x7 immediately yani turant paise bhej ya recive kar sakte hai.
2. UPI ID & QR Code :
Aap apna unique UPI id or QR genrate karke payment receive kar sakte hai.
3. Bill Payments :
Aap ish upi app me Electricity Bill, Water Bill, Gas Bill, DTH Bill or Mobile Recharge etc. kar sakte hai.
4. Check Bank Balance :
Apna account balance kabhi bhi kahi bhi turant check kar sakte hai.
5. Multiple Bank Accounts :
Is ek he app main multiple bank accounts link karne ki facilities available rehti hai.
6. Biometric & PIN Security :
Transaction ke liye UPI PIN, Fingerprint or Password Protection milti hai.
7. Language Support :
Ye app hindi, english or others indian language me available hai.
BHIM UPI Benifits
1. Cashless & Cardless :
Physical cash ya atm card carry karne ki zarurat nahi hoti.
2. Instant & Secure Transactions :
Paisa directly bank account me safe aur fast transfer ho jata hai.
3. Government Trusted :
Yeh ek official National Payments Corporation of India (NPCI) ki application hai ishme data aur transactions puri tarah se secure hote hai.
4. Free Transactions :
Basic transactions par koi extra charges nahi lagte.
5. 24×7 Days Availability :
Ishe kabhi bhi use kar sakte hain kyunki ishme Banking hours ya holidays ki restriction nahi hai.
6. Digital India Support :
Yeh application paperless aur cashless economy ko promote karta hai.
7. Small Merchants Useful :
Yeh Application shopkeepers aur local vendors ke liye easy payment accept karne ka ek best option hai.
BHIM UPI App ek esa simple aur powerful digital payment solution hai jo har citizen ke liye secure aur convenient transactions option available karata hai.
• DigiLocker App
DigiLocker Kya Hai ?
DigiLocker ek tarah ka official digital document wallet hai jise Ministry of Electronics & Information Technology (MeitY) Government of India ne launch kiya hai.
Iska main purpose important documents ko digital format me store aur use aur store karke rakhna hai, taaki aapko hamesha apne saath physical copies carry karne ki zarurat na ho.
Yeh app government of infia ki Digital India initiative ka hissa hai aur isme rakhe gaye documents legally valid hote hain aur bilkul original ki tarah hi hote hai.
DigiLocker App Features
1. Digital Document Storage :
Aadhaar Card, PAN Card, Driving License, Vehicle RC, Students Marksheet, Insurance policy etc. documents store karne ki facility ishme milti hai..
2. Government Issued Certificates :
CBSE mark sheets, Driving License, Vehicle Registration aur dusre documents direct government se fetch karne ka option bhi ishme milta hai.
3. E-Sign Facility :
Documents ko digitally sign karne ki facility milti hai.
4. Paperless Services :
Bank, Passport, Insurance, Vehicle aur Education ke liye documents kahin bhi directly share kar sakte hain.
5. Cloud-Based Access :
Documents ko kabhi bhi, kahin bhi access karne ka option ishme milta hai.
6. Secure & Aadhaar Linked :
Login aur authentication Aadhaar based hota hai, isliye data puri tarah se secure hota hai.
7. QR Code Verification :
DigiLocker issued kiye gaye documents ko QR code ke through verify kiya ja sakta hai.
DigiLocker App Benifits
1. Physical Documents Carry Karne Ki Zarurat Nahi :
Driving License, RC, Aadhaar Card, PAN Card sab digital form me available aur valid hai.
2. Legal Recognition :
DigiLocker documents ko RTO, Police, Passport office aur Government authorities bhi accept karti hain.
3. Data Security :
Documents secure cloud servers par stored hote hain bho bhi Aadhaar based authentication ke sath.
4. Time Saving :
Apnr ghar baithe-baithe documents share ya verify kar sakte hai.
5. Free & Official :
Ye ek free aur Government of infia verified service hai.
6. Eco-Friendly :
Paperless system hone ke wajah se environment friendly bhi hai.
DigiLocker App ek digital briefcase ki tarah hai jisme aap apne sabhi tarah ke government verified documents safe aur legally valid tarike se rakh sakte hai.
• Passport Seva App
Passport Seva Kya Hai ?
Passport Seva ek official mobile application hai jise Ministry of External Affairs (MEA) Government of India ne launch kiya hai.
Iska main purpose passport related services ko easy aur accessible banana hai, taaki log apne mobile phone se hi apne passport applications aur status ko check kar saken.
Yeh ek asi Passport Seva Project ka hissa hai jo citizens ko hassle-free, transparent aur faster passport services provide karta hai.
Passport Seva App Features
1. Passport Application Services :
New passport aur re-issue ke liye application details aur process ki services ishme available hai.
2. Application Status Tracking :
Apne passport application ka real-time status check karne ki facility bhi ishme milti hai.
3. Fee Calculator :
Different categories ke passport services ka fee calculate karne ka option bhi ishme deya gya hai.
4. Passport Seva Kendra (PSK) Locator :
Aapke nearest ka Passport Seva Kendra ya Post Office PSK locate karne ka optionbhi available hai.
5. Document Advisor :
Passport banwane ke liye required documents ki complete list ishme milti hai.
6. Helpline & Support :
Contact details aur grievance redressal support directly app me available hai.
7. Multiple Language Support :
User-friendly interface hai Hindi, English aur dusri languages ke saath.
Passport Seva App Benifits
1. Easy Access :
Passport related services aapke mobile par, kahin bhi aur kabhi bhi milti hai.
2. Time Saving :
PSK visit karne se pehle documents aur process asani se clear ho jata hai.
3. Transparency :
Application aur status track karne ki wajah se aapka waiting aur confusion kam hota hai.
4. Convenience :
Document list, fees aur appointment details ek hi app me ek saath mil jati hai.
5. Free & Official :
Yeh ek esa free app hai jo MEA ka official trusted platform hai.
6. Travel Friendly :
Travel plan banate waqt passport related updates aur information aapko ishme handy milti hai.
mPassport Seva App ek esa one-stop digital solution hai jisse aapke passport se related kaam easy, fast aur transparent ban jata hai.
• MyGov App
MyGov App ek asi government mobile application, Ishe govt. of india ne citizens aur government ke beech behtar sambaad ke liye start kiya hai.
Ish application ke help se peoples na sirf government schemes aur policies ki information receive kar sakenge, balki sujhaab, bichaar aur feedback bhi direct government tak pahuncha sakenge.
MyGov App Features
1. Citizen Engagement Platform :
Aap ish application se direct Government se connect ho sakti hai.
2. Polls & Surveys :
Policies aur schemes par aap apna opinion de sakte hai.
3. Discussion Forums :
Different topics par discussion karne ka option bhi milta hai.
4. Tasks & Activities :
Sarkari campaigns se related tasks complete karke aap apna contribute kar sakte hai.
5. News & Updates :
New government schemes aur programs ki latest information bhi ishme aapko milti hai.
6. Volunteer Opportunities : Social work me part lene ka bhi chance ishme aapko mil sakta hai.
7. Contest Participation :
Essay, logo design, quiz jaise contests me aap participate kar sakte ho.
8. Direct Suggestions to Govt. :
Aapko apne ideas aur suggestions directly Govt. tak pahunchane ka option bhi ishme milega.
MyGov App Benefits
1. Citizens aur Government ke beech direct ek bridge ka kaam karta hai yeh application.
2. Policies me citizens ka opinion shamil hota hai.
3. Youths ko nation building me active participation ka ishme chance mil sakta hai.
4. Government schemes ki transparency aur awareness ishse badhti hai.
5. Contests ke through aapko prizes aur recognition mil sakti hai.
6. Social issues par collective participation aur solution ishme nikalta hai.
7. Ishse innovation ko boost milta hai.
8. Digital India Mission ko aur bhi jayada strong banata hai.
Simple words me bole toh MyGov App ek esa platform hai jo har citizen ko “Policy Making ka hissa” banata hai aur Government ke saath direct connect hone ka chance bhi deta hai.
• NextGen mParivahan App
NextGen mParivahan Kya Hai ?
NextGen mParivahan ek official government mobile app hai jise Ministry of Road Transport and Highways (MoRTH) Government of India ne peoples ke liye launch kiya hai.
Ye application peoples ko digital driving license aur RC (Registration Certificate) ka alternative provide karta hai. Matlab fication ke liye accept karata hai.
1. Online Verification :
Kisi bhi vehicle ka owner apni details aur RC verification easily ish app par kar sakta hai.
2. PUC (Pollution Certificate) Integration :
Aapko ishme vehicle pollution certificate ki details bhi app me check karne ka option.
3. Emergency Services :
Accident ke case me aapko ish application me helpline number aur emergency service access karne ka option bhi milta hai.
4. Challan Information :
Aapki gaadi par jo bhi traffic challan hoga, uski details aapko ish app me mil jayegi.
5. Transport Service Info :
RTO offices aur transport related services ki information bhi ishme available hai.
NextGen mParivahan App Benifits
1. Document Carry Karne Ki Zarurat Nahi :
Physical DL/RC carry karne ki aapko tension nahi rahegi.
2. Legal Recognition :
Ishme Supreme clCourt aur Ministry of Road Transport ke according digital documents bilkul legal hote hain.
3. Easy Verification :
Police ya RTO officials ke samne documents bhi ish app me easily verify ho jaate hain.
4. Fast & Secure :
Secure login aur OTP verification ke through safe digital locker system deya gaya hai.
5. Time Saving :
Vehicle information aur challan check karna ish app ke through fast aur easy hota hai.
6. Free & Official :
Ye ek free official government app hai, jisme data puri tarah se secure aur authentic hota hai.
Yadi sidha baat karen toa NextGen mParivahan App app un logon ke liye bahut useful hai jo aksar apna DL/RC bhool jaate hain ya travel me hamesha safe rehna chahte hain.
• Voter Helpline App
Voter Helpline App ko ECI (Election Commission of India) ne launch kiya hai.
Ye ek official mobile application hai, Ishka purpose voting system ko easy, pardarshi aur digital banana hai.
Ye app citizens ko voter se judi all services ek hi jagah available karati hai.
Voter Helpline Features
1. Voter Registration :
Ishme new voter id card ke apply kar sakte hai.
2. Correction & Update :
Apne voter identity card me name, address, photo etc. Ke mistakes ka correction aasani se kar sakte hai.
3. Search Name in Voter List :
Voter list me apna naam easily tarike se find kar sakte hai.
4. Download Digital Voter Slip :
Ishme aap voteing karne ke liye digital Slip download kar sakte hai.
5. Complaints & Feedback :
Aap ish app ke help se kisi bhi tarah ki complaint direct election commission of india tak pahuncha sakte hai.
6. Election Information :
Ishme aap election date, candidates information aur results bhi dekh sakte hai.
7. Forms Submission :
New Voter Registration ke liye ishme aap Form 6, Form 8 etc. bharkar submit kar sakte hai.
8. Booth & Officer Details :
Apne area ke Polling Booth Center aur Booth Leval Officer (BLO) ki information bhi nikal sakte hai.
Voter Helpline App Benefits
1. Kahin se bhi voter id card ke liye apply kar sakte hai.
2. Paardarshita aur subhida milti hai aur line me lagne ki jarurat nahi hai.
3. Voter list me name find karne aur download karne ki facility milti hai.
4. Complaint submit karne ka fast tarika hai, isse democracy aur bhi strong hoti hai.
5. Har ek election ki result time information easily milti hai.
6. Digital voter slip aur update ki facility se time ki bahot saving hoti hai.
7. Youth aur new voters ke liye registration ka process bahot easy hai.
Voter Helpline App har ek indian citizen ke helpful hai, Especially un logon ke liye jo apne voting rights ka digital aur aasan tarike se use karna chahte hai.
• ePathshala App
ePathshala Kya Hai ?
ePathshala ek official education app hai, jisse NCERT (National Council of Educational Research and Training) ne Ministry of Education, Government of India ke collaboration me launch kiya hai.
Ye app mainly school students, teachers, parents aur researchers ko dayaan me rakhkar banaya gaya hai.
Isme NCERT ke textbooks, audio-video resources, periodicals, journals aur other educational material digital format me sabhi ke liye available hain.
Matlab aap apne mobile ya laptop par hi free me apne ghar par baithe-baithe study kar sakte hai.
ePathshala Features
1. Digital NCERT Books :
Ishme class 1 se 12 tak ke NCERT books Hindi, English aur Urdu me available hain.
2. Offline Access :
Books aur resources download karke aap bina internet ke bhi inhe padh sakte hai.
3. Multimedia Learning :
Audio, video, flipbooks aur interactive study material bhi ishme diya gaya hai.
4. Multiple Users :
Students, Teachers, Parents aur Educators ke liye alag-alag sections deya gaye hai.
5. Notes & Highlights :
App me important points highlight karne aur apne notes banane ki facility bhi milti hai.
6. Language Support :
Aapke liye ishme different Indian languages me content available hai.
7. Free & Easy to Use :
All content ishme free of cost aur user-friendly interface ke sath hai.
ePathshala App Benifits
1. Books Carry Karne Ki Zarurat Nahi :
NCERT books ish ek hi app me – mobile library jaisa experience ke sath de gaye hai.
2. 24×7 Study Material :
Aap kahin bhi, kabhi bhi study kar sakte hai.
3. Teachers Ke Liye Helpful Hai :
Ishme teaching material aur lesson planning ke liye resources easily available hai.
4. Parents Ke Liye Useful Hai : Parents isse apne bacchon ki study monitor kar sakte hain.
5. Free & Authentic Content :
Official NCERT ka verified aur updated study material hai.
6. Digital India Initiative Ka Hissa :
Iske saath education ko technology ke through har bacche tak pahunchane ki koshish hai.
ePathshala App students ke liye ek digital school bag ki tarah hai kyunki ishme books, notes aur multimedia sab kuch ek jagah par milta hai.
• Sanchar Saathi App
Sanchar Saathi Kya Hai ?
Sanchar Saathi ek official portal aur mobile app hai jisse Department of Telecommunications (DoT) Government of India ne sabhi ke liye launch kiya hai.
Ishka main purpose mobile users ki safety, security aur transparency ko ensure karna hai.
Is app ke through users apne mobile connections ko track kar sakte hai, block kar sakte hai, verify aur manage kar sakte hain.
Sanchar Saathi App Features
1. CEIR (Central Equipment Identity Register):
Agar aapka mobile phone kahin bhi kho jata hai ya chori ho jata hai toa IMEI number ke basis par usse block karne aur dobara milne par unblock karne ka option aapko ishme milta hai.
2. Know Your Mobile Connections :
Aapke naam par kitne mobile numbers registered hain, aap unki list check kar sakte hai.
3. Report Fraudulent Numbers :
Agar aapke naam par galat tareeke se SIM liya gaya hai toa aap isse report karke usse deactivate karwa sakte hai.
4. Telecom Services Transparency :
SIM card aur mobile services me aapko zyada clarity aur control milta hai.
5. Track & Secure Device :
Lost device ko block karne ke alawa aapko usse trace karne ki bhi facility bhi milti hai.
6. Online Complaint Facility :
Telecom related frauds aur misuse ko report karne ki direct facility bhi ishme di gaye hai.
Sanchar Saathi App Benifits
1. Mobile Security :
Isse kho gaye ya chori hue mobile ko block karke misuse hone se bachaya ja sakta hai.
2. Fraud Prevention :
Aapke naam par unauthorized SIM connections ko detect aur band karne ka option ishme milta hai.
3. Digital Empowerment :
Har citizen apne mobile connections par ish portal ki help se control rakh sakta hai.
4. Time Saving :
Police aur telecom operator ke chakkar lagane ki zarurat nahi, kyunki sab kuch online ho jata hai.
5. Transparency :
Telecom sector me zyada accountability aur frauds isse kam hote hain.
6. Free & Government Verified :
All services bilkul free aur official hai.
Sanchar Saathi App un sabhi mobile users ke liye ek esa safety tool hai jo apne phone aur connections ko secure rakhna chahte hain.
In Sabhi Government Apps Ko apne Mobile Phone me Google Play Store se Install karne ke liye aap yeh video dekh sakte hain.
Toa friend ye hai government of india ki 10 best mobile apps ke naam features & benifits,Yadi aapke liye ye post helpful hai toa ise share karen. Thank You.