PM Kisan Yojana
Central government indian farmers ke help ke liye kai tarah ke schemes chalate hai inhe me se ek hai pradhan mantri kisan samman nidhi yojana.
PM kisan samman nidhi yojana se government indian farmers ko financial support karte hai.
PM Kisan Samman Nidhi Yojana Kya Hai
Yadi aap indian farmer hain toa pm kisan samman nidhi yojana me apna registration kara sakta hain.
PM kisan samman nidhi yojana me register farmers ko every 3 month me 2,000 - 2,000 rupees ke financial help provide karaye jate hai.
Benifesry farmers ko ₹2,000 direct benefit transfer (DBT) se bank account me transfer kar diye jate hai.
Ish tarah government benifesry farmers ko financial help karne ke liye ₹6,000 yearly bank account me direct transfer karte hai.
PM Kisan Yojana New Update
Government pm kisan samman nidhi yojana ko lekar time to time new update ka announcement karti hai ishka benifit un farmers ko hota hai jenhe sach me financial support ke jaroorat hai.
PM kisan samman nidhi yojana ko lekar government ne ek aur new update ka announcement keya hai.
New update yeh hai ke ab pm kisan yojana ke ₹2,000 installment ka benifit farmers ko lene ke liye kyc karana compulsory hai.
Ishka sidha sa matlab hai ke ab aapko pm kisan samman nidhi yojana ke next installments lene ke liye apne kcy karani hogi nahi toa aapke bank account me next ₹2,000 installment aapko received nahi hoge.
Yade aapne apne kyc kara le hai toa aap ish post ko yahin chod sakte hai aur yade kyc nahi ke hai toa ayeye aapko batate hain ke pm kisan samman nidhi yojana ekyc kaise karte hain.
PM kisan yojana ekyc karne ke liye aap niche bataye process ko follow karen.
PM Kisan Samman Nidhi Yojana e-KYC Kaise Kare
Step 1 : PM kisan samman nidhi yojana yojana ekyc karne ke liye sabse pahle aap pm kisan yojana ke official website par jayen - pmkisan.gov.in
Step 2 : Aap scroll down karke niche ayenge toa yahan aapko (FARMERS CORNER) me (e-KYC) ka option milega aap ish par click karen.
Step 3 : Aub Aapke samne (OTP Based Ekyc) ka page opne hoga aap niche (Aadhaar No.) bale box me apne 12 digits ke number type karen.
Step 4 : Ishke baad aapse mobile number enter karne ko kaha jayega,aap yahan apna bahi mobile number enter karen jo aapke aadhar card se link hai.
Step 5 : Mobile enter karne ke baad niche get otp par click karen.
Step 6 : Aapke aadhar card se link ish mobile number par aub ek otp send kiya jayega otp receive hone ke baad enter otp ke jagah par otp type karne ke baad aap niche submit par click karen.
Step 7 : Aapke successfully submit kar dene ke aapke pm kisan yojana ekyc complete ho jayegi.
Aub aapke bank account aapko pm kisan samman nidhi yojana ke next installment received ho jayegi.
Note : Aap apne nearest csc centers se bhi biometric based eKYC ke liye contact kar sakte hain.
Toa friend aub sikh chuke hain ke pm kisan yojana ekyc kaise karte hai,aub yadi yeh post aapke liye helpful rahe hai toa aap ishe apne friends ke sath share kar sakte hai.ThankYou.
0 comments:
Post a Comment
Please Don't Post Spam Links