Best Mobile Photography Tips
Ishme toa koi sak nahi ki agar aapke pass branded company ka jayada megapixel camera bala mobile phone hai toa aapki koi na koi picture toa best click ho hi jayegi.magar maja toa jub hai ke aapki har picture best ho aur aapke pass kam megapixel bala mobile phone ho.Ji haan yadi aap sahi tarike se mobile camera ka use karna dikh lete hain toa aap kisi bhi mobile phone se best photo click kar sakte hain.hum aapko niche 6 tips bata rahe hai jinhe photography karte time aap yaad rakhe toa aap ek best photo click kar sakte hai.
● Jio pos lite app se paise kaise kamaye
● How to download facebook videos
Tips No 1 : Camera Flash Light
Koi bhi apne mobile camera ko on karke picture lene lagta hai toa sabse pahle bho apni mobile flash ko on karta hai.kyunki ushe lagta hai ke bina flash ke picture best nahi ayegi.lekin aapko bata de ke har jagah flash on karne ki jaroorat nahi hoti.bahot si jagah natural lights me li gyi photo bina Flash se achi ati hai.jubki bahan aap flash on karke picture lenge toa khrab ho jayegi.kai baar low light me photography karni bhi pade toa ushke liye aap apne mobile camera setting me jakar exposure ya iso ko bada sakte hai.lekin aapko yaad rakhna hai ki ishe bhadane ki bhi ek limit hoti hai ushse jayada bhadane se photo khrab ho sakti hai.
● Aarogya setu kaise use karen
● Mobile to lost mobile track
Tips No 2 : Camera Gride Lines
Gride ka option har mobile phone me pahle se hi diya hota hai.ushka use kare.gride ka use karne se aapko yeh pata chal jata hai ke aapko pictures ko screen par kaha rakhkar photo lena hai.kyunki gride on karne se aapko directions ko set karne ke liye screen par lines de di jati hai.gride lines ko on karne ke liye aapko mobile ka camera open karke setting me jakar gride ko on karna hota hai.
● LIC premium pay by phonepe
● 5 ways to make money online
Tips No 3 : Camera Zoom
Mobile se photography karte time camera zooming ka jitna kam ho utna use kare.abhi ke latest mobile phones me 4-4 lens ate hai.jinme mobile camera wide angle lens and micro lens ke option diye jate hai,inse hum bina zoom out aur zoom in ke bhi photo click kar sakte hai.ishke alaba aap agar zoom in karte hain toa aapki photo khrab ho sakti hai.ishliye liye ishse bachne ke liye aap zoom in karne ki bajaye object ke karib jakar photo le.
● Mobile charging solutions
● Mobile tower side effects on human
Tips No 4 : Camera Focus
Agar aap apne smartphone se best photography karna chahte hai toa sabse pahle focus ka khaas khyal rakhe.agar aap photo lete time focus ka khyal nahi rakhte hai toa aapki photo kharab ho sakti hai.focus ush boy ya girl ke face ko detect kar leta hai jishki aap photo lene bale hai.magar aub aap kisi chij ki photo le rahe hai toa ushke liye aajkal jayada mobile phones me seen detection ata hai.agar aapke phone me hai toa aap ishka use kar sakte hai.lekin agar phone use karne bala chahe toa manually bhi focus ko set kar sakta hai.ishke liye sirf aapko mobile ki screen par tab karna hoga.
● Amazon se paise kaise kamaye
Tips No 5 : Camera Light
Smartphone se best photography karne ke liye sabse bada roll lighting ka hota hai.agar photo lete time lightning thik nahi hai toa ek best picture lena bahot muskil hai.kyunki camera me jitni jayada light jayegi,photo me utne hi best colour nikhar kar ayenge.best photo click karne ka ek aasan tarika yeh hai ki jis directions se light enter ho rahi ho,ush direction me aaki back side honi chahiye aur light subject ke upar padni chahiye.jo log ish tips ko thik se follow karna sikh lete hai unki li gyi har photo best hoti hai.aur jo ishko thik se nahi samjh pate bho photo ko kharab kar lete hai.
● Mobile ko computer ka mouse kaise banaye
Tips No 6 : Camera Still
Ek behtreen photography karne ke liye akhri tips yeh hai,ki jub bhi aap apne mobile phone se photo le toa ish baat ka khass khayal rakhe ke aapka mobile phone ek jagah par still rahe.ishke liye best yeh hai ke aap kisi stand ya kisi chij ka sahara lekar photo lete time use kare.khass toar par aapko khyaal rakhna hota hai ke jub aap photo click karne lage toa aapka mobile bilkul bhi hile dule nahi.ishke liye aap apne haath ki kohani ko kishi chij par bhi tika sakte hai.jishse haat kampega nahi aur aapki picture bhi best ayegi.
Toa friends yeh hai bho 6 tips yadi aap best photography karna chahte hai toa aap in tips ko jaroor try kare.humain yakin hai ke aapki li hui har photo best hogi.i hope aapko yeh post jaroor pasand ayi hogi.agar pasand ayi hai toa ishe apne friends ke sath WhatsApp Facebook aur Tweeter par share kare.aur humain www.kyakraen.com par follow kare.Thankyou.
0 comments:
Post a Comment
Please Don't Post Spam Links