Mobile Battery Problem
Kai baar aap bahot Important kaam kar rahe hote hai,aur achanak aapke smartphone ki battery low ho jati hai,video record karna ho toa aap nahi kar sakte photo click karne ho toa aap nahi kar pate,kai baar toa log kai kai ghanto tak apne mobile phone ko charging par laga kar rakhte hai,ushke baad kahin jakar battery 100% charge hoti hai.lekin jub use karne lagte hai toa kuch hi ghanton me discharge ho jati hai.in sari problems se yeh samjh me nahi ata ke mobile phone me problem hai ya phone ki battery me kai log toa battery change tak karba lete hai,yeh soch kar ke unke phone ki battery dead ho gyi hai.Agar aap bhi yeh sari problems ko face kar rahe hai,toa aapko hum batade ke aapko phone ki battery change karane se pahle humari ish post me bataye 10 tips ko jaroor try karna chahiye.i hope ke in tips se aapke phone ke battery ki problem ka solution ho jayega.toa chaliye jante hai step by step ke yeh 10 tarike kounse hai.
● Paise kamane ke 5 tarike
● 5 low budget business
Top 10 Battery Tips for Smartphone in hindi
Auto SyncAap phone me auto sync ke bare me toa jante hi honge.agar aap apne smartphone ka auto sync on karke rakhte hai toa aapko bata de ki aap ek bahot badi galti karte hai.aapko ishka use tabhi karna chahiye jub aapko apne mobile phone me email folder every time update karne ki jaroorat padti ho.agar aapko jaroorat na ho toa aap ishe off karke hi rakhe.agar aapko ish jaroorat padti bhi hai toa aap ishe khud hi sync kara kare.
● WhatsApp ke secret features
Phone Signal
Aapko humari yeh salah hai ke aap apne phone se call tab hi kara kare jub signal ache arahe ho.kyunki jub signal kamjor hote hai tab phone signal find karne me battery ko jayda kaham karta hai.aur jub aapko call karne ya data pack use karne ki bilkul jaroorat na ho toa aap apne mobile phone ko airplane mode par daal de.
● Mobile charging solutions
GPS WiFi And Bluetooth
Jub aapko wifi gps aur bluetooth ki jaroorat na ho toa aap inhe on karke na rakha kare.yadi aap inko bebajh on karke rakhte hai toa yeh aapke phone ki battery ka lagakar use karte rahte hai.aur aapke phone me jo dushri apps hoti hai unhe chlne me problem hone lagti hai.
● Mobile radiation kaise check kare
Auto Brightness
Aajkal har mobile phone me aapko auto brightness ka option mil jayega,kai baar yeh phone on hota hai toa aap ishe abhi check kare yadi yeh on hai toa ishe off kar de.aur jab aapko phone ki light ko kam ya jayada karna ho toa aap ishe khud se hi kare.kyunki phone jab khud se lights ka tay karta hai tab battery ki khpat jayda hoti hai.
● Phone me video ringtone kaise lagaye
Charge And Discharge
Aap jab tak phone ki battery puri discharge nahi hoti hogi tab tak charging par nahi lagate honge,aurJub tak battery puri charge nahi ho jati hogi ushe nikalte bhi nahi honge.esa aap hi nahi jayada tar log karte hai.aapko bata de ke phone ki battery ko kabhi bhi pura charge ya discharge nahi karna chahiye.phone me voltage kam hoti hai ishliye aapko phone ki battery ko 20% se 90% ke beech hi rakhna chahiye.
● Sim card swapping kya hai
Background Apps
Akshar hum phone me internet par kuch na kuch find karne ke liye kai sare tab open kar lete hai,lekin kaam hone ke baad unhe close karna bhool jate hai aur bho background me run karti rahti hai.aapne dekha bhi hoga ke jayadatar phone me right side me ek button hota hai,aap ushe press kare aapko bho sari apps dikh jayengi jo aapne pahle open ki hui thi.aap in sari apps ko yaha se hata de kyunki yeh sari app aapke phone ki battery toa khatam karti hi hai memory par bhi asar dalti hai.
● Mobile camera clean kaise kare
Vibration Mode
Agar aap bhi apne smartphone ko vibration mode par rakhte hai toa aap aaj se hi esa karna choad de.kyunki yeh phone ki battery ke sath sath aapke sarir ke liye bhi bahot da dangerous hai.ishke alava phone ka button dubane par bhi jo vibration hota hai ushe bhi close kar de,kyunki ushka bhi koi kaam nahi hota balki battery katam hoti rahti hai.
● Mobile par live tv kaise chalaye
Screen Time Out
Smartphone me screen time out jaroor hota hai,jis aap apni screen ko close karne ka time set kar sakte hai ke aapki screen phone na use karne par kitne time ke baad close ho jayegi.ishme kai time hote hai sabse kam time 15 second ka hota hai,aap hamesa 15 second ka hi time set karke rakhe.ishse aapke phone ki battery jaldi discharge nahi hogi.
● Phone unlocked kaise kare
Phone Charging
Aapne kai logon se suna bhi hoga ke phone jab charging par laga ho tab ushe use nahi karna chahiye.yehi karan hai ke aajkal mobile company's charger ka taar chota rakhti hai.aapko bata de ke charging ke time use karne se battery life kam hoti hai.
● Android apps ka password secure kaise kare
Orignal Battery And Charger
Aapke liye akhri tips bho yeh hai ke jab bhi aapke phone ki battery ya charger kharab ho jaye toa aap ushe orignal company ka hi buy kare.duplicate ya local company ka use karne se aapke phone ki life kam hoti hai.
Toa friend yeh hai smartphone ki battery jayada chalane ke 10 best tips,i hope aapko yeh post jaroor pasand ayi hogi,yadi pasand ayi hai toa ishe apne friends aur family members ke sath WhatsApp,Facebookaur par share kare.aur humain humari www.kyakraen website par follow kare.Thankyou.
Smartphone ki battery life bhadane ke 10 best tariko ke liye yeh video jaroor dekhe
Ishe bhi padiye: Internet se paise kaise kamaye phone se
0 comments:
Post a Comment
Please Don't Post Spam Links