Fixed Deposit
Aaaj ke time me psisa kamana jitna muskil hai ush se jayda muskil hai ush paise ko safe rakhna.yehi bajah hai ke log paise ane ke baad ushe asi jagah invesrt karne ki fikkar me lag jate hai jahan koi risk na ho aur unhe unke paise ka kuch interest bhi mil jaye.agar aap bhi ishi paresani se gujar rahe est bhi mil jaye.agar aap bhi ishi paresani se gujar rahe hai toa aapke liye sabse best option FD yani fixed deposit ka hai.aapki jankari ke liye bata de ke fd ko term deposit bhi kaha jata hai.kyunki fd par kisi tarah ke risk nahi hote.aur sabse bada fayda yeh hai ke ishme government bonds ke competition return bhi jayada milta hai.FD karane ke aur bhi bahot fayde hai ase hi 5 fayde hum aapko ish post me bata rahe hai.toa aaiye jante hai fd karane ke 5 fayde kya hai.
● 5 low budget business
(FD) Fixed Deposit ke 5 Fayde
No.1 Good ReturnMarket me aaj jitne bhi investment ke option hai unme sabse behtar aur risk free product FD hi hai.agar koi apni money ko bina risk invest karna chahta hai toa ushke liye fixed deposit se acha option koi dushara nahi hai.
Example : State bank of india apni 5 years ki fd par 6.25% aur senior citizens ki fd par 6.75% interest deta hai.halanki kai NBFC apni alag-alag time deposit par 8% se bhi jayada return dete hai.
● 5 ways to make money online
No.2 Stable And Fixed Return
FD karane ke fayde me sabse bada fayda yeh bhi hai ke yeh market ke up down se door rahta hai.ishka matlab yeh hua ke market ki kisi bhi halchal se fixed deposit ke interest par kisi tarah ka koi fark nahi padta.yehi bajah hai ke investron ke liye invest ka yeh ek stable option hai.aur ishme kitna return milega yeh pahle se hi fix hota hai.yani invester ko yeh pahle se hi pata hota ke ushe last me kitna return milega.
● Lic premium calculators
No.3 Facility of Liquidity
Fixed Deposit market ka ek sabse jayada
liquid investment hai.aur kabhi bhi jaroorat padne par ishse paisa nikala ja sakta hai.ishka matlab yeh hua ke koi bhi apni fd ki maturity hone se pahle jaroorat padne par paisa nikal sakta hai.lekin ishke liye ushe kuch charge bhi dena padta hai.agar baat kare sbi ki toa 0.50% se 1.0% tak prematurity withdrawal charge leta hai.banko aur NBFC ke prematurity withdrawal charge tenor ke anushaar tay hota hai.
● Without atm card ke sbi atm se paise withdraw kaise kare
No.4 Loan Facility
FD paise invest karne ka ek esa option hai jishme aapko loan lene ki facility bhi mil jati hai.jayadatar costumers ko unki jaroorat par bina fd tode unki jama ki gyi rakam ka 90% tak ka loan offer karti hai.aapko bata de ki ish loan ka interest rate bahot hi normal hota hai.agar baat kare sbi ki toa ishki fd par loan lene ke liye koi prossesing fees nahi deni hoti.aur sabse badi baat yeh ke ish par koi prepayment penalty bhi nahi lagti.
● What is cancel cheque ?
No.5 Low Investment and High Flexibility
Agar baat kare flexibility ki toa fd se best koi aur product nahi hai.kyunki ishme time period and money khid hi select karne ki ajadi hoti.yani fd me koi bhi 7days to 10years tak ke liye paise ko invest kar sakta hai.sbi ki fd me money invest karne ki limit kam se kam 1,000 rupees hai.aur jayda se jayda ki koi limit nahi hai.agar koi senior citizen ishme 10,000 rupees se jayada ki fd kiya hai toa ushe 0.25% tak jayada interest milta hai.
Toa friends yeh hai fixed deposit karne ke 5 sabse bade fayde,i hope yeh information aapke liye jaroor helpful rahegi.agar yeh post aapko pasand ayi hai toa ishe apne friends ke sath WhatsApp Facebook aur Twitter par share kare.aur humain humari website www.kyakraen.com par follow kare.Thankyou.
Fixed Deposit karane ke 5 fayde video dekhe hindi me
Ishe bhi padiye : Google adsense account safety tips
0 comments:
Post a Comment
Please Don't Post Spam Links