Google Adsense Account
Agar aap internet ki jankari rakte hai toa aap google adsense ke bare me toa ache se jante hi honge.aaj ke time me internet par paise kamane ke liye sabse best tarika google ka adsense account hi hai.aap adsense account se every day 1$ se 1000$ tak se bhi jayada money earn kar sakte hai.aaj pure world me lakho logon ke pass apna ek adsense account hai,jis se bho every month acha khasha paisa kama lete hai.lekin jitana asan adsense se earning karna hai utana hi muskil adsense account ko safe rakhna bhi hai.agar aapke pass bhi adsense account hai toa aapko ushe disable hone se bachane ki jankari bhi hona jaroori hai,nahi toa aapka account kabhi bhi ek choti si galti ke karan disable ho sakta hai.toa agar aapko nahi pata hai ke google adsense account ko safe kaise rakhe hai,toa chaliye hum aapko batate hai adsense account ko safe rakhne ke 10 tips.Adsense Account Safe Kaise Rakhe 10 Important Tips
Tips No.1 : Copyright Content
Aaj har koi apna ek blog ya youtube channel create leta hai,aur fhir unka hi sapna hota hai ke kisi tarh se unka adsense account approved ho jaye,taki bhi kuch earning kar sake, jayada log toa success ho bhi jate hai,par kai logon ka account approved hi nahi hota kyunki unhone kisi ka copyright content use kiya hota hai,agar agar kisi ne copyright nahi use kiya aur unka account approve ho gya toa bho baad me kisi ki copy karne se disable kar diya jata hai.ishliye yadi aapka koi blog hai ya youtube channel toa aapko humesa yeh yaad rakhna chahiye ke aapko kisi ka copyright content use nahi karna hai.
● 5 low budget business
● 5 ways to make money online
Tips No.2 : Self Click
Agar aapka google adsense account approve ho gya hai,toa aapko use 100% fare tarike se chalana chahiye,kai log adsense account approve hone jayada earning ke chakkar me khud se hi apne ads par click karne lagte hai,agar unka adsense account youtube ke liye approve hua hai toa bho jayada earning ke chakkar me apne videos khud hi watch karne lagte hai,agar website ke liye approve hua hai toa apni hi post khud opne karke apne device me dekhne lagte hai.aapko bata de esa karne se aapke adsense account ko disable hone se koi nahi bacha sakta,ishliye kabhi bhi apne ads ko opne karke na dekhe.
● Google par 8 topics search na kare
Tips No.3 : Adsense Policies (Term & Conditions)
Agar aap apne adsense account ko safe rakhna chahte hai toa aapko adsense ko ache se samjhna jaroori hai.agar aap adsense ki term & conditions ko thik se read nahi karte hai toa aapke adsense account ko kabhi bhi problem ho sakti hai.apne adsense account ko disabled hone se bachane ke liye aapko adsense ki policies ko carefully follow karna hi hoga.aap apne account ke approve hone ke baad regular adsense ki terms and conditions ko read jaroor kare.
● YouTube video viral kaise kare
Tips No.4 : Paid Promotion
Agar aap apni website par traffic ko bhadane ke liye kisi ko paise dete hai toa yeh google ki Policies ke khilaf hai,esa karne se aapka adsense account na toa approve kiya jayega aur enable hai toa ushe disable kar diya jayega.hamesa aapki website par organic traffic hi hona chahiye.aur aapko yeh bhi yaad rakhna hai ke jo bhi aapki website par ata hai bho apni marji se hi ads par click kare.aapko kabhi se kahkar apni ads par click nahi karbana hai,yadi aap esa karte hai toa bhi google aapke account ko suspend kar dega.
● Remove google search history
Tips No.5 : Click Through Rate(CTR)
Adsense account approve hone ke baad ushe safe rakhne ke liye ushke CTR ko Control karke rakhna bhi bahot jaroori hota hai.kai baar website par impression toa kam hota hai par click jayada ho jata hai,toa ishe aapko maintain karke rakhna hota hai,agar aapka impression kam hai aur CTR 15 % se jayada hai toa aapka adsense account kabhi bhi temporary ya permanently suspend kiya ja sakta hai,ishliye apna CTR regular check karte rahe.
● Adsense account kaise banaye
Tips No.6 : Illegal And Adult Content
Adsense account ke suspend hone ke kai karan hai,jinme se ek hai adult content.aap apni website ya youtube channel par google ki ads lagakar earning kar rahe hai toa aapko ushki safety ke liye adult content ka use karne se bachna hoga,nahi toa aapka adsense account kabhi bhi suspend kiya ja sakta hai.kyunki google porn aur adult content ko kabhi bhi accept nahi karta hai.chahe bho bad words ho image ya video ho.
● YouTube se paise kaise kamaye
Step No.7 : Hacking
Google adsense account se permanent earning karne ke liye aapko unique aur good content publish karne hote hai,lekin kai logon ke pass dene ko jab koi jankari nahi hoti toa bho logon ko apni website par hacking sikhna start kar dete hai.aapko bata de ki yadi aap apni website ya youtube channel par hacking se related jankari ke post ya video dalte hai toa google ishe kabhi bhi accept nahi karega aur hamesa ke liye aapko block kar dega aur aapka adsense account bhi suspend kar diya jayega.
● Adsense account bina pin verify kaise kare
Step.8 : Drugs And Illegal Items
Aapko apni website ko aur adsense account ko safe rakhne ke liye google ke rules ko follow karna jaroori hota hai,aspko yeh pata hona chahiye ke kya google ki Policies ke khilaf hai.agar aap google ki policies ko ignore karenge toa adsense account dangerous gone me ajayega.aap apni website par drugs ya alcohol (Beer Sharab) ki jankari nahi de sakte, aap gair kanooni hatiyaar banana ya sale karna nahi sikha sakte,aap kisi person ya company ke bare me bad words ka use nahi kar sakte,aap galat drugs ke bare me jankari nahi de sakte,aap hinshaa bhadkane bsle content share nahi kar sakte,yadi in sari chijon ka dayan nahi rakhenge toa aap apni website ko aur adsense ko jayada din tak nahi use kar payenge.
● Adsense account address verification
Step.9 : Copyright Image And Video
Agar aapki website hai ya youtube channel hai toa aapko yeh Jankari jaroor hogi ke aap kisi aur ke photo aur video apni site ya channel par use nahi kar sakte.aapko hamesa apne create kiye huye videos aur photos hi use karne hote hai,yadi aap kisi aur ke videos images use karte hai aur bho aapki complaint karta hai toa aap adsense account suspend ho sakta hai,youtube par toa 3time strike ke baad channel ko hi delete kar diya jata hai.ishliye humesa apne click kiye image aur videos hi use kare.
● Tez se paise kaise kamaye
Step.10 : Child Harassment
Google ki Policies ko yadi aap thik se read karenge toa ushme aapko child harassment ke bare me banaye rules bhi mil jayenge,aap apni videos me ya post me bachon se kaam karane ki jankari nahi daal sakte,childrens ke sath maar pit ke photos ya videos share nahi kar sakte,children se job karane ki jankari nahi daal sakte,yeh sab gair kanooni hai, esa karne se google penalty ke toar par aapke adsense account ko permanently suspend kar sakta hai.
● Blog,blogger,blogging kya hai ?
Note : Google adsense account ek baar suspend hone ke baad aap apne naam se life me ushe dowara nahi bana sakte.
Toa friends yeh hai google adsense account ko safe rakhne ke 10 tips,i hope aapko yeh post jaroor pasand ayi hogi.agar pasand ayi hai toa ishe apne friends ke sath WhatsApp Facebook aur Twitter par share kare.aur humain humari www.kyakraen.com par follow kare.Thankyou.
Google adsense account me apna bank account link kaise kare jankari ke liye video watch kare
Ishe bhi padiye : Top 10 smartphone battery tips
0 comments:
Post a Comment
Please Don't Post Spam Links