Best 5 low budget business || kam paise me karne bale 5 business

Top 5 low budget business in India.agar aap koi bijness karne ke soch rahe hai but aapke pass paisa kam hai.toa yeh post aapke bahot kaam ki hai.kyunki ish post me hum aapko 5 ase business ke bare me batane ja rahe hai jinhe aap bahot hi kam paison me kar sakte hai.toa puri jankari ke liye padte rahiye ish post ko akhir tak.

5 business jinhe aap apne ghar se hi start kar sakte hai, aur bahot hi low budget me karke kafhi earning kar sakte hai.

Jaise hi kisi ki bhi padai likhai complete hoti hai ushe sabse jayada tension ek job ki hoti hai.bahot se logon ko toa achi job mil jati hai but kai logon ko unki kabliyat ke anushaar jo nahi milti.aur majboor hokar bho ush job ko karte rahte hai jishe bho pasand nahi karte.

Yadi aapko bhi padai complete karne ke baad koi achi job nahi mil rahi hai,ya aap koi business karne ki soch rahe hai,lekin paise ki kami ke karan bijness nahi kar pa rahe hai.toa aub aapko tension lene ki koi jaroorat nahi hai.kyunki hum aapko niche 5 ase business bata rahe hai jinhe aap bahot hi kam budget me start kar sakte hai.

● Online earning ke 5 tarike
● Bina card atm machine se paise kaise nikale

Ish post me bataye gye business low budget business jaroor hai,but aap inse every month moti earning kar sakte hai.toa chaliye jante hai ke bho 5 low budget business kounse hai.

Best 5 Low Budget Business in India

Dancing and Music School
Agar aapke pass paise ki problem hai,but aapke pass koi talent jaise ki aapko acha dance karna ata hai jise aapne kabhi sikha tha,ya aapko singing ati hai,toa aap apne ghar par hi ek school open kar sakte hai.aap ish kaam ko kam se kam budget me apne ghr par hi kar sakte hai.ish kaam se aapko 2 fayede honge ek toa aap earning karenge aur dushara khud ko fit bhi rakh sakenge.agar aapka kaam logon ko pasand agya toa aapko idea nahi hai ke aap ish business se kitna paisa earn kar sakte hai.aap YouTube se new new steps sikh kar logon ko sikha sakte hai.aajkal dancing aur music ka sock chote childrens se lekar bade logon tak har kisi ko hota hai.

● YouTube Stories tab se paise kaise kamaye
● YouTube se paise kaise kamaye

Coaching Centre

Agar aapne kafhi padai ki hui hai lekin fhir bhi aapko aapki achhi job nahi mil rahi toa aap coaching Centre open kar sakte hai.coaching centre open karke liye aapko keval ek room ki jaroorat hai jo ki aapke hoga hi agar nahi toa aap ek rent par room le sakte hai.coaching centre ka business karne ka sabse bada fayda ueh ke ishse aapka revision bhi hota rahega.jaise jaise aapke students bhadte jayege baise baise aapki income bhi bhadti jayegi.

● Tez se paise kaise kamaye
● Mobile app se paise kaise kamaye

Travel Agent

Yeh toa aap jante hi hai,ke logon ko gumne firne ka kitna sock hai.yadi aapko yeh sock hai toa aap ishe travel agent bankar pura kar sakte hai.aap travel agent ke business ko bhi apne ghar se hi start kar sakte hai,aap apni travel agency ka permosin apne aas pass ke school,college,home ya companys me kare.jaise jaise aapki agency popular hoti jayegi aapki income bhadti jayegi.

● Mobile se paise kaise kamaye
● Internet se paise kaise kamaye

Social Media Strategies
Jaisa ki aapko pata hi hoga ke aajkal har koi social media se connected hai.yahi bajah hai ke har badi company social media ke expert logon ki talas me rahti hai.aap ish baat ka fayda utha sakte hai.agar aapko bhi social media me interest hai toa aap ishe apna business bana sakte hai,social media Strategist bankar.ho sakta hai ishke liye aapko thodi si professional degree ya diploma course ki jaroorat pad sakti hai.ushke baad aap thodi si training karke ish business ko start kar sakte hai.starting me aap choti-choti companys se connect ho kar apne ish business ko bada sakte hai.ushke baad ish business se income karne ki koi limit nahi hai.

● Amazon se paise kaise kamaye
● Adsense account kaise banaye

Fitness Instructor

Aaj har kisi ki life bahot biji life ho chuki hai,yahi bajah hai ke log har samay apni fitness ko lekar paresan rahte hai.aap ish baat ka fitness instructor bankar fayda utha sakte hai.agar starting se hi apni finesse ko lekar series hai toa aap ek ache fitness instructor ban sakte hai.aap starting me kisi gym ke sath connect hokar ish kaam ko start kar sakte hai.ishke baad yadi aapke pass paise nahi hai toa aap apni website banakar ya YouTube channel open karke logon training de sakte hai.aap ish business ko online ke sath-sath offline bhi kar sakte hai.aap starting me ishe apne aap pass ki colony se hi start kare,jub dhire dhire aapke pass jagah aur gym ka saman jama ho jaye toa aap apna khud ka gym open kar sakte.aapko idea nahi hai ke ish business me earning karne ki koi limit nahi hai.

Toa friends yeh hai 5 ase business jinhe aap bahot hi low budget me kar sakte hai.i hope aapko yeh post jaroor pasand ayi hogi.agar pasand ayi hai toa ishe apne friends ke sath WhatsApp,Facebook, aur Tweeter par share kare.aur humain humari website www.kyakraen.com par follow kare.Thankyou.

ishe bhi padiye:WhatsApp secrets features

0 comments:

Post a Comment

Please Don't Post Spam Links

Translate

Blog Archive