WhatsApp top 10 secret settings | WhatsApp ke 10 best features

Aaj har kisi ke pass smartphone hai.aur har ek phone me Massaging app WhatsApp jaroor hoti hai.lekin 90% log WhatsApp ke sare features ke bare me nahi jante.ishliye aaj hum ish post me aapko WhatsApp ke 10 secret features ke bare me aapko bata rahe hai.toa puri jankari ke liye padte rahiye ish post ko akhir tak.

whatsapp 10 secrets features tips and tricks in hindi,whatsapp top 10 magical settings ki jankari step by step hindi me,

WhatsApp

Aaj pure world me instant massaging app whatsapp ke laghbhag 150 karod active users hai.akele India me hi whatsapp ka lagbhag 20 karod log use karte hai.ek report ke hisab se whatsapp se lagbhag everyday 65 arab massage send kiye jate hai.jubki aapko bata de har ek minute 2.9 karod massage send aur receive kiya jata hai.pure world me everyday whatsapp se lagbhag 5.5 karod video call kiye jate hai.
Whatsapp ka itna jayada use hone ke baad bhi 90% log ishe puri tarah se use nahi karte.aur ishki bajah hai whatsapp me time-time par add hone bale new features ijo ki nme se bahot sare feature aapke kafhi kaam asakte hai unka fayada nahi utha pate.hum asi whatsapp ki 10 secret settings aapko niche bata rahe hai,jo aapko whatsapp use karte samay bahot kaam anebali hai.yeh 10 settings ko sikhne ke baad aap whatsapp ko smartly use kar payenge.


Whatsapp 10 secret settings

No.1 Status Settings

Status setting karne ke liye sabse pahle status me jaye,fhir uper right side me 3 dot par tab kare, status privacy par tab kare,aub yahan aapko 3 option milenge.

> My contacts - ish option ko select karne se aapke status un sare logon ko dikhai denge jinhe aapne apne contact me save kiya hai.

> My contacts except - ish option ko select karne se aap apne status ko kisi bhi save kiye contact se hide kar sakte hai.

> Only share with - ishe select karke aap apne status ko apne save kiye jin contact ke sath share karna chahte hai,unhe select karke share kar sakte hai.

● Laptop ko touch screen kaise banaye
● sbi bank me bina ATM card payment withdraw kaise kare

No.2 Hideing Blue Tick
Blue tick ki setting karne ke liye sabse pahle upar 3 dot par tab kare,fhir setting par tab kare,account par tab kare,privacy par tab kare,aub read receipts ke option ko untick kar de.

aap ishe untick karke massage dekhne ke baad dikhne bale blue tick ko chupa sakte hai.

Note : yadi aap ishe untick kar dete hai toa aapke samne bhi kisi ke massage dekhne ke baad blue tick show nahi hoga.

● Mobile charging solutions
● Mobile radiation check 

No.3 Customize Notification

Notification customize karne ke liye ush person ki chat ko open kare jishki notification customize karna chahte hai.upar ushke name ya number par tab kare.custom notifications par tab kare,use custom notifications par tick mark kare.

Aub aap apne hisab se notifications ko customize kar sakte hai.notification tone par tab karke aap har person ke ane bale massage ki tone ko alag-alag set kar sakte hai.ishi tarah call notifications par tab karke WhatsApp ki call ki tone ko bhi alag-alag set kar sakte hai.

● WhatsApp par electricity bill download kaise kare

No.4 Profile Photo And Last Seen Status
Profile photo and last seen status ki setting karne ke liye upar 3 dot par tab kare,fhir setting par tab kare,account par tab kare,privacy par tab kare,aub profile photo par tab kare yahan aapko 3 option milenge.

> Everyone - ish option ko select karne se aapki profile photo har kisi ko dikahi degi.

> My contacts - ish option ko select karne se aapki profile photo keval aapke save kiye contact ko hi dikhai degi.

> Nobody - ish option ko select karke aap apni profile photo ko hide kar sakte hai,fhir ushe koi nahi dekh sakega.

● Best youtube tools for creators

No.5 Stop Saving Media At Gallery

Stop saving media at gallery ki setting karne ke liye sabse pahle apne phone ki storage me jaye,internal storage par tab kare,WhatsApp me jaye,media par tab kare,whatsapp video par tab kare,fhir upar 3 dot par click karke rename kare,rename karke name ke samne ek (.) laga de.

Ishke baad aapke whatsapp par ane bale photo aur videos aub aapki phone ki galaxy me save nahi honge.

● Sim card Swapping kya hai

No.6 Resume Saving Media St Gallery

Resume saving media at gallery ki setting karne ke liye sabse pahle apne phone ki storage me jaye,internal storage par tab kare,WhatsApp me jaye,media par tab kare,whatsapp video par tab kare,fhir upar 3 dot par click karke rename kare,rename karke name ke samne lage (.) Ko remove kar de.

Ishke baad aapke whatsapp par ane bale photo aur videos aub aapki phone ki gallery me save home lagenge.

● YouTube Stories tab se paise kaise kamaye
● Online shopping karne ke 10 tips

No.7 Stop Auto Media Download

Stop auto media download setting karne ke liye upar 3 dot par tab kare,fhir setting par tab kare,data and storage usage oar tab kare,aub when using mobile data par tab kare.aub yahan sare option ko untick kar de.

In sab ko untick karne se aapke WhatsApp me ane bali kisi bhi chat ko aap data on hone par automatic download hone se rok sakte hai.

● Mobile phone secrets settings

No.8 Saving Status Of Others
Saving status of others ki setting karne ke liye sabse pahle status par tab kare,fhir aap jis status ko dekhna chahte hai ush status ko open kare.

Aub agar aap chahte hai ke yeh status aapko aapke phone me dikhai de toa apne phone ke file manager ko open kare, fhir internal storage par tab kare,WhatsApp par tab kare,fhir media me jaye,aub status par kare,aub aapko yahan par aapke sare status dikhai denge.aap jishe apne phone ki Gallery me save karna chahte hai,upar 3 dot par click karke kar sakte hai.

● Android mobile top 5 apps
● Bina internet website kaise chalaye

No.9 Massaging Anyone A Group
Massaging anyone a group ki setting karne ke liye sabse pahle kisi group ko opne kare,aub aap jis ek person ko massage karna chahte hai,ushke liye typing option me @ type kare,aub aapke sare group ke members ki list aapke samne ajayegi,aap jishe massage karna chahte hai ushe select kare aur massage bhej sakte hai.

Ish trick se bheja gya massage aapke group ke baki logon ke pass nahi jayega.

No.10 Setting Colourful Wallpaper

Colourful wallpaper set karne ke liye sabse pahle setting par tab kare,fhir chat option me jaye,aub wallpaper par tab kare,aub aapke samne kai options ajayenge wallpaper set karne ke,aap chahe toa apne phone ki gallery se photo select karke ushe as a wallpaper use kar sakte hai,ya background colour bhi set kar sakte hai.
Toa friend yeh thi WhatsApp ki top 10 magical tricks,i hope aub aap apne WhatsApp ko smartly use kar payenge,aub agar aapko yeh tricks pasand ayi hai,toa ish post ko apne friends ke sath  whatsapp,facebook, aur tweeter par share kare.aur humain humari website www.kyakraen.com par follow kare.Thankyou.

WhatsApp ki top 10 amazing tricks ke liye yeh video watch kare

Ishe bhi padiye : Lic premium calculate kaise kare

0 comments:

Post a Comment

Please Don't Post Spam Links

Translate

Blog Archive