Bina bijli mobile charge kaise kare | 4 ways to charge a phone without electricity

Mobile charging solutions.kya hum bina electricity mobile charge kar sakte hai ?har mobile  phone users ke mann me ek baar yeh question jaroor ata hi hai.ji haan aap bina bijli ke bhi apne mobile phone ko charge kar sakte hai.ish post me hum aapko without electricity mobile charge karne ke device aur simple tricks bata rahe hai.ho sakta hai inke bare me aap jante bhi ho.puri jankari ke liye padte rahiye ish post ko akhir tak.

Mobile charging solution.bina bijli ke mobile phone charge karne ke best 4 tarike ish post me bataye gye hai.without electricity mobile charging tips in hindi

Kai baar aapke ghar me bijli ki problem ho jati hai.aur aapke phone ki battery down hoti hai,ase me aap sochte honge ke kaas mobile me battery full hoti.ya fhir kabhi aap bahar hote hai,aur achanak aapke phone ki battery khatam ho jati hai,ya down hoti hai aur aapko ush par koi photo ya video shoot karna hota hai,par battery down hone ke karan camera open hi nahi hota toa shooting kaise hogi.aur bahar humare pass electricity toa hoti nahi ke mobile ko charge kar le.ase me aapko ish post me batye gye device aur tricks kafhi kaam asakte hai.

How to charge phone without electricity

Without electricity mobile charge karne ke kai tarike hai.aur market me kai devices bhi available hai.ish post me hum aapko bina bijli mobile phone charge karne ke 4 best device aur tricks ke bare me bta rahe hai.yadi aap inme se kisi bhi ek device ko ys trick ko apna ko yadi aap use karte hai,toa aapki bina bijli ke mobile charge karne ki problem solve ho jayegi.toa chaliye jante hai,without electricity mobile charge karne ke devices aur tricks ke bare me.

● Mobile radiation check and phone list
● Phone me video Ringtone kaise set kare

without electricity phone charging tips in hindi

No.1 : Car ya Scooter to Mobile Charge
Yadi aapke pass car ya scooter hai, toa aapko mobile phone ke discharge hone ki tension choad deni chahiye. Kyunki agar aap apne Scooter ya car se bahar ja rahe hai,aur aapka phone discharge ho jata hai,toa aap ushe apne car aur Scooter dono se hi asani se charge kar sakte hai.kyunki aajkal mobile charging karne ka feature dono me hi diya jata hai,jishse aap chahe toa ghar par rahkar ya driving karte time bhi apne smartphone ko discharge hone par charge kar sakte hai.

● Sim card Swapping kya hai ?
● Smartphone par live tv kaise dekhe
● Bina password phone unlocked kaise kare

No.2 : Laptop to Mobile Charge

Agar aapke pass laptop hai,toa bhi aapko phone ke discharge hone ki koi tension nahi leni chahiye.aap yadi ghar par hai aur ghar ki electricity gool ho gyi hai,toa aur phone bhi discharge ho gya hai,toa aap apne laptop se apne phone ko charge kar sakte hai.aur yadi bahar bhi jate hai,toa laptop jaroor lekar jate honge toa kahin par bhi ho phone ke discharge hone par ushe laptop me data cable lagakar charge kar sakte hai.magar laptop me battery ki kuch limit hoti hai,ishliye aap apne smartphone ko thoda bahot hi charge kar sakte hai.magar ishse aapka kaam toa chal hi jayega.

● Android apps me password kaise lagaye
● Mobile phone secrets settings

No.3 : Solor Panel to Mobile Charge

Aajkal market me solor energy ke bahot demand hai.man lijiye aap kahin asi jagah par bahar ja rahe hai,jahan electricity ki bahot problem hai.toa aapko apne sath ek solor panel jaroor lekar jana chahiye.yeh aapko ghar par bhi kafhi kaam ayega.kyunki yeh panel sun ki roshni se electricity paida karta hai.aur ish bijli se aap apne mobile phone ko charge kar sakte hai.solor panel aapko market me kafhi kam price par mil jayega.

● Mobile secrets coad 
● Mobile phone top 5 apps

No.4 : Power Bank to Mobile Charge

Power bank ke bare me toa aapne suna hi hoga.power bank ek esa device hai jishme battery lagi hoti hai.yeh kafhi chote size me bhi mil jata hai.power bank aapko 500 se 700 rupees me 5,000 se 10,000mah tak me bhi mil jayega.ishse aap apne phone ko discharge hone par 2 baar charge kar sakte hai.bus aapko apne power bank ko charge karke rakhna hai.aur fhir yadi aap kahin bahar bhi jate hai,toa ishe apne sath carry kar sakte hai.

I hope aapko mobile charge karne ke yeh tips jaroor pasand aye honge.agar pasand aye hai toa ish post ko apne friends aur family members ke sath WhatsApp, Facebook,aur Tweeter  par share kare.aur humain humari www.kyakraen.com par follow kare.Thankyou.

Ishe bhi padiye : Bijli ka bill WhatsApp par kaise receive kare

0 comments:

Post a Comment

Please Don't Post Spam Links

Translate

Blog Archive