Air Purifier Buying Guide | 6 tips for best air purifier buy in hindi

Air Purifier kya hai.Air Purifier kaise kaam karta hai.ya Air Purifier buy karne ja rahe hai toa 6 tips jaroor ache se jaan le ke air purifier kaam kaise karta hai.ish post me hum aapko air purifier ke bare me kuch important batain batane ja rahe hai.ish post me aapko 6 tips diye gye hai jinka khyal rakhkar aap ek best air purifier apne liye buy kar sakte hai.puri jankari ke liye padte rahiye ish post ko akhir tak.
Air Purifier Buying Guide in hindi. Air Purifier buy karne se pahle jaan le air Purifier ke 6 Tips.

High Pollution City in India

India ke North Areas me last 5 to 6 years me air pollution level kafhi adhik matra me bhada hai.ishe ignore karna hum Indians ko kafhi mahnga pad sakta hai.ishliye yeh ek chinta ka bisay hai.ishka ek sabse bada karan smog and pollution ki jayada matara bhi hai.air pollution me smog and pollution ke visibl alert kafhi danger sabit hote hai.lekin yeh visibl na bhi ho toa bhi yeh kaha nahi ja sakta ke koi city air pollution free hai ya nahi.

High Pollution in Dehli

India me ish samay kisi city me high pollution hone ki baat kare toa sabse pahle bharat ki rajdhani dehli ka naam samne ata hai.dehli me aajkal morning se lekar evening tak pollution ka level high starr par hota hai.evry year dehli ka pollution level dangerous starr se bhad raha hai.dehli me logon ka sansh lena bhi mushkil ho chuka hai.

Esa nahi hai ke hum air pollution ko hara nahi sakte hara sakte hai but humain ek sath milkar ish se ladna padega.ishke liye humain alert rahna hoga aur carbon footprint ko kam karna hoga.halaki ishke behtarr tarike ko apnane ke liye kuch time humain lagega.

● Online shopping karne ke 10 tips

● Inverter ac kya hai ?

Air Purifier


Kai log air pollution ki bajah se hone bali bimariyon se jhooj rahe hai.ase me humain technology ko ek aham solution man lena chahiye.aap jis hawa me sansh le rahe hai bho pollution free hai ya nahi aapko ishka pata lagane ke liye Air Purifier ka shara lena hi chahiye.baise toa market me ishke liye kai sare options hai.lekin kafhi costley bhi hai.aur jub hum itne costley Purifier buy karne ki soch hi rahe hai toa humain inke bare me kuch khaas jankari toa honi hi chahiye.lekin aapko ishki jankari nahi hai toa koi baat nahi hum aapko air purifier purchase karne ke 6 tips niche de rahe hai.jinke baad aap ek best air purifier purchase kar payenge.

● Refrigerator ki kharabi kaise check kare 

Air Purifier Buying Guide in hindi

Air Purifier Tips No.1= Size

Air Purifier ko purchase karne se pahle aapko apne room ke size ko dyan me rakhna chahiye.yadi aapka room jishme aapko air purifier rakhna hai bho chota hai toa aap chota air purifier kharid sakte hai. Yadi aapke room ka size bada hai toa aapko room ke hisab se bada air purifier hi buy karna chahiye.yadi koi room air purifier se 20% se 40% bade size ka ho toa esa air purifier lena best option hota hai.aur ishke alaba yeh aapko bahtarr performance bhi dega.aur yahan ek dyan rakhne bali baat yeh bhi hai ke aapko apne badroom me ek compact and without voice bala air purifier hi rakhna chahiye.ishse aapki neend me koi khlal nahi padega.aur bahin bade room ya fhir living room bale area ke liye aapko bada hi air purifier hi lagana chahiye.yahan par aapko ek our important baat bata de ke yadi aapka room jayada bada hai toa ek air purifier se kaam nahi chalega aapko 2 ya 3 air purifier lene padenge.

● Washing machine buying guide in hindi

Air Purifier Tips No.2 = CADR

(CADR) clean air delivery rate
ki help se aap yeh bhi pata laga sakte hai ki air purifier kitni jaldi hawa ko purifie karta hai.ishse aap ish baat ka pata laga sakte hai ki yeh kitne feet tak hawa ko Purifi kar sakta hai.CADR number jitna jayada hoga air filtration utna hi behtarr hoga.aapko bata de ke air purifier me 3 CADR number hote hai.ishme se first dust second parag (pollen) and third smoke ke liye hota hai.agar aapka ghar bada hai toa aapko asa air purifier lena chahiye jishka CADR ratting jayada ho.

● Coolers buying guide in hindi

Air Purifier Tips No.3 = Air Quality Indicator
Air quality Indicator air purifier me ek important feature hai.digital indicator and colord lite real time me pollution ke up/down label ko dikhata hai.air purifier me sensor bhi hona chahiye jo PM2.5 (ultra fine dust) and PM10 (fine dust) ka stick newmerik mejerment bata hai.ishki help se yeh pata lagya ja sakta hai ki device par air purification speed ko kaise change kiya ja sakta hai.

● Refrigerator tips in hindi 

Air Purifier Tips No.4 = Filter Life

Normally ek air purifiers ek bade bequme cleaner ki tarah work karta hai.kisi bhi air purifier ko lene se pahle aap ushke filter ki jankari jaroor le le.market me asi kai sari company's hai jo apne device par air filter ki jankari nahi deti.inme jayadatar Chinese company hai.air purifier me laga hua filter dust ,parag,badboo and smock jaise any nukshaandayak pollution karne balo ko Purifi karne me help karta hai.

● Refrigerator colling tips in hindi

Air Purifier Tips No.5 = Filter Type

Market me 4 type ke filters available hai.

  (1) HEPA (high efficiency particulateair)

  (2) CHARGED MEDIA

  (3) ANTIBACTERIAL AND GERMICIDAL

  (4) ELECTROSTATIC PRECIPITATOR


Inme se jis bhi filter ke sath aap air purifier lena chahte hai,ishse pahle aapko yeh dyan rakhna hoga ki yeh filter market me available hona chahiye.kyunki filter ko time to time replace bhi karana padta hai.bahin air filter ke price par bhi aapko dyan dena chahiye.ishke sath hi air filter ko khud se safh karke dobara use karne ke bare me bhi aap soch le.
● Air conditioners buying guide

Air Purifier Tips No.6 = Service And Warranty

Kisi bhi device ko purchase karne se pahle aapko ushki warranty aur service ke bare me bhi soch lena chahiye.air purifier bhi warranty ke sath ata hai.ishliye aapko ishki sabhi warranty ki terms and conditions ko dyan se pad lena chahiye.ishke sath hi jis Manufacture ki device aap le rahe hai ushka service ka network kitna bada hai aapko yeh bhi pata kar lena chahiye.yahan par aapko bata de Samsung, Philips,Honeywell jaisi company ka service network kafi strong hai.bhain kai online sellers ase bhi hai jo air purifier ko bina kisi warranty ke hi sell kar rahe hai.ishka sidha sa matlab hai ki aapko unki post sell ki jankari ache se leni hogi.taki aap ek best air purifier buy kar sake.

Toa friends yadi aap Air Purifier lene ke bare me soch rahe hai,toa aapko yeh tips jaroor help karenge.yadi aapko ish post me di gyi jankari pasand ayi hai, toa ishe apne friends ke sath WhatsApp,Facebook aur Tweeter par share kare.aur humain humari www.kyakraen.com website par follow kare.Thankyou.

Ishe bhi padiye : WhatsApp par electricity bill kaise receive kare

0 comments:

Post a Comment

Please Don't Post Spam Links

Translate

Blog Archive