YouTube Tools kya hai
Agar aap YouTube par new hai,magar aapki koi website ya blog hai toa 100% aap tools ke bare me jante honge.kyunki website ya blog ke liye tools ek bahot important roll ada karte hai.tools ki help ke bina kisi bhi blog ko chalana namumkin hai.● Amazon se paise kaise kamaye
● Internet se paise kaise kamaye
Agar aapki koi website ya blog nahi hai aur YouTube par channel hai.toa aapko bata de ke website, blog ki tarah hi YouTube ke liye bhi tools ate hai.
Agar aapka website, blog ya koi YouTube channel bhi nahi hai.aur aap ek new YouTube channel banane ki soch rahe hai.toa aapko YouTube par fast Success hone ke liye tools ke bare me jankari honi Chahiye.hum niche aapko Best 5 YouTube tools ke bare me bata rahe hai,jinka use karke aap apne YouTube channel ko grow kara sakte hai.youtube par video upload karne ke liye bhi yeh tool kafhi kaam ane bale hai aapke.
Kyakraen.com par hum pahle bhi YouTube ke bare me kafhi post daal chuke hai,jo YouTube par Successful hone me aapke kafhi kaam askati hai.youtube ki sari post yahahn se pade = YouTube All Post
● Blog,blogger,blogging kya hai
● 5 amazing websites
Best 5 YouTube Tools For Creators
1. PANZOIDagar abhi-abhi aapne apna koi YouTube channel create kiya hai,aur ushke liye aap video banane bale hai,toa aapko ush video me apne YouTube channel ka ek intro bhi add karna Chahiye.ya pahle se aapka channel hai,aur aapko apne channel ke liye ek intro create karna hai.toa aap ish tool ka use kar sakte hai.ishka use karke aap apne channel ke liye ek advanced into bana sakte hai.ishke liye aapko kisi editing ko sikhne ki jaroorat nahi hogi.aur yeh bilkul free hai.
● Facebook,WhatsApp ki profile par full size ki picture kaise lagaye
Ishe download karne ke liye aapko Panzoid ki website par jana hoga.Panzoid website here = panzoid.com
2. CANVA
Canva ki help se aap apne channel ka ek Logo bana sakte hai. Channel Art bana sakte hai.aur video ke liye ek acha sa Thumbnail bhi bana sakte hai.in sab ke alava canva ki help se aap Business Card,Magazine Cover etc,Book Cover, CD Cover bhi bana sakte hai.
● Bina internet apps download kaise kare
Ish download karne ke liye aapko Canva ki website par jana hoga.Canva website here = canva.com
3. PIXABAY
YouTube par video upload karne me sabse jayada mushkil copyright images ki ati hai.kyunki hum kahin se bhi image ko lekar apne channel par upload nahi kar sakte.ese me humain non copyright image ki jaroorat hoti hai.aur non copyright image ke liye Pixabay ek best website hai.jahan se aap jitani chahe copyright free images download kar sakte hai.
● Best computer keyboard shortcuts
Ishe download karne ke liye aapko pixabay ki website par jana hoga.Pixabay website here = pixabay.com
4. TUBEBUDDY
Tubebuddy Browser Extension hai.ish extension ko khaas toa par youtubers ke liye hi design kiya gya hai.ishka use karke aap apne YouTube channe ke kaam ko aur bhi asahan bana sakte hai.ishke alava ish extension se aap apne YouTube channel ko fast grow bhi kara sakte hai.
● Kisi bhi phone me video Ringtone kaise lagaye
Tubebuddy Extension ke features kya hai
(1) Tags Explorer : Tubebuddy extension ki help se aap kisi bhi YouTube channel ke video ke tags ko jaa n sakte hai.kisi popular video ke tags ko nikal kar apne video me add karke apna video viral kara sakte hai.(2) Thumbnail Generator : Tubebuddy extension se aap apne video ke liye ek best thumbnail bana sakte hai.
(3) Card Templates
(4) End Screen Templates
(5) Emoji Picker etc.
● Reliance jio sim ki 2 free services
Tubebuddy Extension ko aap free me bhi use kar sakte hai. Aur ishka Premium version bhi purchase sakte hai.
Ish extension ko aap apne Chrome browser, Firefox and Safari browser me install kar sakte hai.
5. WONDERSHARE FILMORA
YouTube channel ke liye video banana kar ushki editing karna bahot jaroori hota hai.ase me Wonder share filmora software aapke bahot kaam ka tool hai.ishe YouTube video edit karne ke liye best mana jata hai.wondershare Filmora se video editing karna bahot asan hota hai.ishme aapko bahot sare Features mil jate hai.jinka use karke aap YouTube ke liye ek best Trending video bana sakte hai.ishme video editing ke liye aapko Green Screen Background Change karne ka Feature bhi.mil jata hai.aap ishse screen recording bhi kar sakte hai. Inke alava bhi ishme aapko kai sare features mil jate hai.
● Sim card Swapping kya hai
● YouTube Stories Tab se paise kaise kamaye
Ishe download karne ke liye aapko wondershare filmora ki website par jana hoga.Wondershare Filmora website here = wondershare.com
yeh 5 tools ka use karke aap apne YouTube channel ko fast grow kar sakte hai.
I hope aapko yeh post jaroor pasand ayi hogi.agar pasand ayi hai toa ishe apne friends ke sath WhatsApp, Facebook aur Twitter par share kare.aur humain humari www.kyakraen website par follow kare.Thankyou.
Ishe bhi padiye : Mobile, tower side effects on human body
0 comments:
Post a Comment
Please Don't Post Spam Links