Sim Card Swapping Kya Hai

Sim Card Swapping Kya Hota Hai ? Sim Card Swap Kya Hai.Sim Card Fraud se kaise Bache.agar aap bhi in sare Question ka Answer chate hai.toa aap bilkul sahi post ko pad rahe hai.kyunki aaj ki ish post me hum sim card swapping ke bare me jankari hasil karne bale hai.toa puri jankari ke liye padte rahiye ish post ko akhir tak. 

Sim Card Swapping Fraud kaise hota hai.Sim card Swap kya hai.sim card ke Fraud se kaise bache


Sim Card Swapping

Ho sakta hai aapne pahle kabhi sim card Swapping ke bare me suna ho.ya fhir aap pahli baar sun rahe ho.agar aapne nahi suna hai ishke bare me toa hum aapko bata dete hai,ke sim card Swapping ko Sim card fraud bhi kaha jata hai.sim card Swapping ki aajkal kafhi charcha ho rahi hai.kyunki aajkal logon ke bank account se unki jankari ke bina paise nikalne ke liye ishe fraud log use karte hai.aub aapke mann me yeh sawal araha hoga ke kisi ke bank account se ushki marji ke bina sim card Swapping se paise kaise nikale ja sakte hai.toa chaliye hum aapko bata dete hai.lekin sabse pahle aapke liye yeh jankari jaroori hai ke sim card Swapping kya hoti hai.

● Mobile tower side effects on human body in hindi
● Smartphone me bina internet live tv kaise chalaye


Sim Card Swapping kya Hai ?

Sim card Swapping ka matlab hai,ke kisi sim card number ko band karake ushi number ke dushare sim card ko receive karna.jaise ki jub aap apne kisi purane number ko new sim card me dalba kar lete hai toa ishe hi sim card Swapping kahte hai.

● Mobile phone ki top secrets settings
● Android phone top 5 apps

Sim Card Swapping Fraud

Sim card se fraud karne bale aapse kaise froud karte hai.chaliye aub ishke bare me bhi samjh lete hai.sim card Swapping karte samay fraud karne bale aapko phone karte hai.aur khud ko sim card company ka member batate hai.bho aapko yakin dilane ke liye kuch bhi kah sakte hai.jaise bho aapse kahte hai ke aapke phone me Network thik nahi ata hai.aur yadi aap kahte hai ki thik kar do toa lbho aapse sim card ke 20 anko bale number ko mangte hai.aub yahan froud hone se anjaan log unke jhanse me ajate hai aur 20 anko bala number unhe de dete hai.

● Kisi bhi phone me face lock kaise lagaye

Aub jaise hi aap apne sim card ke 20 anko bale number ko unhe denge bho aapse confirm karne ke liye 8 dabane ko kahte hai.bus jaise hi aap unke kahe anushaar 1 number dabayenge new number ke liye Ragisteretion Request chala jayega.

Aub yahan se aapke sim card ki company ko lagega ke aapne apne number ke liye new sim card ke liye Request ki hai.ishke baad aapka number jo purani sim me chal raha hai ushe band kar diya jata hai.aur froud karne bale ke pass jo new sim hai ushme aapka number chalu kar diya jata hai.ishke baad aapke jitane bhi bank account se aapka number link hai un sare accounts se paise nikal liye jate hai.

● Mobile se delete huye photo bapis kaise laye

Kai baar fraud karne bale aapse aadhaar number ki bhi demand karte hai,kyunki bank ki kai services aadhaar card se hi judi hoti hai.froud karne bale kai baar itana parshaan kar dete hai ke aap parshaan hokar apna mobile hi band kar dete hai.bus bho ishi intzaar me rahte hai.kyunki jub aap apna mobile band kar denge toa aapko bank se kisi tarah ka koi notifications ya massage nahi milega.aur bho asani se apna kaam kar jayenge

● Mobile app kaise banaye
● Kisi bhi app ka name aur icon kaise Change kare


Sim Card Swapping Fraud Safety Tips

Sim card Swapping se hone bali dhokha dhadi se bachne ke liye hum aapko niche kuch tips bata rahe hai.agar aap in tips ka palan karte hai,toa aapke sath kisi tarah ka froud nahi hoga.

1. Sim card ke 20 anko ka number kisi ke sath share na kare.

2. Sim card ki personal Information kisi ke sath phone par share na kare.

3. Kisi ko bhi phone par apni personal information na de.

4. Apna aadhaar number phone par kisi ke sath share na kare.

5. Phone par aye OTP(ONE TIME PASSWORD) ko kisi ke sath share na kare.

6. Koi anjaan phone par baar baar paresan kar raha ho toa apna phone switch off na kare.

Ish post ko ignore na kare.aapki mehnat ki kamai se judi jaroori jankari humane aapko ish post me di hai.i hope aapko yeh post jaroor pasand ayi hogi.agar pasand ayi hai toa ishe apne friends ke sath WhatsApp, Facebook aur Tweeter par share kare.aur humain humari www.kyakraen.com website par follow kare.Thankyou.

Ishe bhi padiye : Hybrid sim slot bale phone me 2 sim ke sath micro sd card kaise chalaye

0 comments:

Post a Comment

Please Don't Post Spam Links

Translate

Blog Archive