YouTube Stories Kya Hai
YouTube Stories ek YouTube creators ko diye jane bala 2018 ka new Feature hai.jishme aap apni choti-choti story create karke apne subscribers tak pahuncha sakte hai.aapke dawara create ki gyi story aapke subscribers ke YouTube app ke home page par unhe dikhai degi.YouTube ne abhi kuch din pahle hi YouTube ne yeh feature launch kiya hai.jo ki dhire-dhire sab Youtubers ko milna start ho gya hai.● YouTube videos me subscribe button kaise lagaye
YouTube Stories Tab apne YouTube channel me kaise add kare.ya fhir first story kaise create karte hai.youtube Stories kahan use karte hai.yeh YouTube Stories Feature ke bare me yeh sari hum humari pichli post me step by step detail se de chuke hai.agar aap yeh sari jankari chahte hai toa yahan par click karke pad sakte hai = Stories Tab YouTube Me Kaise Add kare
YouTube Stories Tab ke Fayde
No.1 : YouTube Stories Tab ka sabse bada fayeda toa yeh hi hai,ke ishse aap apne YouTube channel ke subscribers bhada sakte hai.kyunki aapke dawara create ki gyi story un logon ko bhi dikhai degi jinhone aapke channel ko subscribe nahi kiya hai.aur jub unhe aapki story pasand ayegi aur bho aapke channel ko subscribe karna chahenge toa unhe aapke channel par ane ki jaroorat nahi padegi.unhe bhahin par subscribe karne ka option dikhai dega jishpar click karke bho aapke YouTube channel ko subscribe kar lenge.toa ish tarah se aap apne channel par subscribers gain kar sakte hai.● YouTube channel kaise banaye
● YouTube videos viral kaise kare
No.2 : Kyunki aapko ek Youtube channel par Stories Tab mila hai,toa ishka matalab hai ke aapka channel kam se kam 10,000 subscribe toa pure kar chuka hai.aub agar ase me aap koi apna dushara ek aur new YouTube channel create karte hai.toa ushpar jo bhi video upload karenge ushke bare me aap apne ish channel ke Stories Tab me daal sakte hai.jishse aapke new channel par bhi traffic ane lagega.
Ish tarah se aap Stories Tab se apne ish channel ke sath sath new channel ko bhi popular kar sakte hai.
● YouTube se paise kaise kamaye
YouTube Stories Tab Ka Nukshaan
No.3 : Agar YouTube Stories Feature ke nukshaan ki baat kare toa ishka sabse bada nukshaan bhi yehi hai,ke aapko jo story se subscribers milenge bho kebal unki ek chote si story ke video ya photo ko dekhkar hi milenge.aur yadi aap apne channel par kuch aur topics ke videos upload karte hai,aur story kuch aur create karte hai toa aapko yahan se mile huye subscribers aapke videos ko watch nahi karenge.● YouTube go kya hai
● YouTube ka URL kaise Change kare
Example : Aapka YouTube channel tech ka hai.aur aapne story me video ya image funny upload kar di.toa jo log aapke funny image ya video ko dekhkar subscribe ka button dabayenge bho baad me aapke tech ke videos ko watch nahi karenge.kyunki unhe YouTube par funny video dekhna hi pasand hai.bho YouTube par ase videos ke liye hi ate hai.aur ish tarah se aapke channel par subscribers ki ginti toa bhadti jayegi magar videos par views nahi ayenge.
● Aadhaar card me mobile number kaise Change kare
Make Money on YouTube Stories in hindi
Aub tak aap YouTube Stories Feature ke bare me almost sabkuch jaan chuke hai.magar kya aap jante hai ke YouTube ke ish Feature se paise bhi kama sakte hai.aub aapke mann me yeh question araha hoga ke ish Feature se hum paise kaise kama sakte hai.toa chaliye hum aapko batate hai.● Mobile camera lance clean kaise kare
● Online shopping karne ke 10 tips
No.4 : agar aapke dawara create ki gyi story par ache views aur comment ate hai,toa aapko badi badi company khud contact karegi.jaisa ki aap jante hi honge ke YouTube par companys apni apps,product, mobile phones,software jaise kai chijon ka parchahr karbati hai.magar unke liye aapko pura video banakar upload karna padta hai.yadi aapke Stories ka feature ko jayada log pasand karte hai,toa aap kisiki bhi app,software, ya kisi bhi product ki story ka ek chota sa video clip banakar ushe upload kar sakte hai.jishke badale me company ya app ko promote karbane bale aapko ushka paisa denge.
● Bina internet phone par live tv kaise dekhe
● Mobile phone secrets settings
Example : aub aap maan kar chliye kisi ne apni ek app create ki aur bho ushe parmote karbana chahta hai.aur aapse contact karta hai toa aapko ushke liye ek pura video banane ki jaroorat nahi hai.aap kebal 15 second ka ush app ka video banakad apne Stories Tab me upload sakte hai.
● 2018 ki top 5 apps
Note : aap apne YouTube channel ke about section me apna business email address jaroor add karke rakhe.taki koi bhi aapse ush email ke jariye asani se contact kar sake.
Toa aub aap YouTube Stories Tab ke bare me sara kuch jaan chuke hai.I hope friend aapko yeh post jaroor pasand ayi hogi.agar pasand ayi hai toa ishe apne friends ke sath WhatsApp,Facebook ,Tweeter par share kare.aur humain humari www.kyakraen.com website par follow kare.Thankyou.
Ishe bhi padiye : Merry Christmas WhatsApp, Facebook status and videos download
0 comments:
Post a Comment
Please Don't Post Spam Links