Aadhaar Card : UIDAI
Aadhaar card humare liye kitana important hai,yeh toa aap jante hi hai.baise India me apni pahchaan batane ke liye humare pass kai tarah ke identity proof hote hai.ishliye kisi bhi card ka kabhi bhi kho jana ek aam si baat hai.aub kai logon ka aadhaar card kahin gum ho jata hai.ya fhir bho kahin bhul jate hai.aur jub unhe ushki jaroorat padti hai,toa card nahi milta.ase me bho kisi local shop par jate hai,aur ushki duplicate copy print karbate hai.jishka shopkeeper 150 se 200 rupaye tak charge kar leta hai.aur ushme aapke Aadhar ke missuse hone ka bhi darr bana rahta hai.
● Aadhaar card me mobile number kaise Change kare
Aadhaar Card Reprint
Aub se pahle aapko aadhaar card gum ho jane par ushe dobara print karane ki subhida nahi milti thi.halanki e version ko download karane ka option site par aapko milta tha.lekin aub ( UIDAI) ne logon ki ish paresani ko dekhte huye yeh service apni site par uplabdh kara di hai.jishse aap apne ghar par baith kar hi khud se apne aadhaar card ko Reprint karba kar apne ghar par hi mangba sakte hai.ishke liye aapko jayada charge bhi nahi dena padega.aur aapke Aadhar ki details ke leek hone ki samshya se bhi chutkara mil jayega aapko.
Aadhaar Card Reprint ki fees kya hai
Jaisa ki humane aapko upar bataya agar aap bahar se aadhaar card ki copy download karbate hai,toa aapse kafhi jayada charge kiye jata hai.magar aub aap (UIDAI) ki website se Reprint Order kara sakte hai,jishke liye aapse fees ke toar par 50 rupees charge kiya jayega.ish fees me GST aur SPEED POST ka charge bhi samil hai.● Aadhaar card me date of birth kaise Change kare
Bina Mobile Number Aadhaar Card Download Kaise Kare
Aadhaar card ko banbate samay agar aapne apna mobile number diya tha toa aap asani se aadhaar card ko download kar sakte hai.magar aapke Aadhar me mobile number Ragister nahi hai toa bhi aap kisi aur number se aadhaar ko print karaba kar apne ghar par mangba sakte hai.jishki puri jankari niche di gui hai.● Aadhaar card me address kaise Change kare
Aadhaar Card Reprint Order Ki Payment Kaise Karenge
Jaisa ki hum upar bata chuke hai,ke aadhaar card Reprint ki fees 50₹ rakhee gyi hai.aapko yeh payment karne ke liye 4 tarike milenge.niche follow kare.No.1 : Credit Card
No.2 : Debit Card
No.3 : Net Banking
No.4 : UPI
● Aadhaar card ki jankari lock kaise kare
Aadhaar Card Reprint Order Kaise Kare
Step.1 : Aadhaar card Reprint Order karane ke liye aapko sabse pahle aadhaar card ki website par jana hoga.(UIDAI) ki website par jane ke liye yahan par click kare = uidai.gov.inAadhaar Card Reprint Order |
Step.2 : Aadhaar card ki site par ane ke baad Order Aadhaar Reprint (Pilot Basis) ke option par click kare.aap upar di gyi image ko follow kare.
Aadhaar Card Reprint |
Step.3 : Aub aapke samne ek new page open hoga.aub aapko in box me upar di gyi image ko dekhkar bharna hai.
● Aadhaar card ka status kaise check kare
1. Aadhaar Number/VID : ishme apna aadhaar number ya virtual address bhare.
2. Enter Security Coad : ishme box ke samne diye gye captcha coad ko sahi-sahi bhare.
3. Request OTP : aub agar aapke Aadhar card me mobile number Ragister nahi hai toa ishme ✓ tick laga de.aub ek new box opne hoga ushme koi bhi mobile number jo aapke pass ho ushe enter kare.
4. I have TOTP : agar aapke Aadhar card me mobile number pahle se hi Ragister hai,toa bho number ishme ✓ enter kare.
5. Send OTP : mobile number enter karne ke baad send OTP par click kare.aub aapke dawara bhare huye mobile number par ek (OTP) one time password send kiya jayega.
6. Enter OTP/TOTP : aub jo coad aapke mobile par send kiya gya hai,ushe ish box me bhare.
● maadhaar kya hai aur kaise use kare
Step.4 : Aub yahan par aapko aadhaar card ki puri details show hogi.aap check kar le agar sabkuch theek hai,toa MAKE PAYMENT ke option par click kare.
Step.5 : Make Payment par click karte hi aapko payment gateway par redirect kar diya jayega.aub aapke samne payment karne ke option show hoge.
Step.6 : Aub aap jish tarah se payment karna chahte hai ushke samne tich karke payment kar sakte hai.
Step.7 : Payment karte hi aapko mobile par payment Successfull aur registration ka massage milega.aur ishke sath hi aapko ek eknowledge sleep de di jayegi.aapko yeh slerp download karke apne pass rakhni hai.ish sleep ki help se aap kabhi bhi status ko track kar sakte hai.
● Bank ka Cancel check kahan use hota hai
Aadhaar Card Reprint Order Status Kaise Check Kare
Agar aapne online aadhaar card Reprint Order kiya hai.aur aub aap ushka status check karana chahte hai,toa aap niche bataye gye steps ko follow karke asani se kar sakte hai.Step.8 : Online aadhaar Reprint ka status check karne ke liye sabse pahle aapko aadhaar card ki official website par jana hoga.website par jane ke liye yahan click kare = resident.uidai.gov.in/check-aadhaar-reprint
Step.9 SRN : Website lar ane ke baad sabse pahle aapko SRN number bharna hoga.jo ki aapke mobile number par aapkoe eknowledge sleep me diya gya hai.
Step.10 : Enter UID : Niche bale box me aap apna aadhaar number bhar de.
Step.11 Enter Security Coad : Aur aub Enter Security Coad ke samne bale box me diya gya captcha coad bhar de.
Step.12 Submit : Sara bharne ke baad Submit par click kare.
● Online shopping ke 10 tips
Jaise hi aap Submit par click karenge aapke samne aadhaar card Reprint Order ka pura status show ho jayega.
Toa aub aap online aadhaar card Reprint Order ke bare me sara kuch details se jaan chuke hai.aub agar aapko yeh post pasand ayi hai toa ishe apne friends ke sath WhatsApp, Facebook aur Tweeter par share kare.aur humain humari www.kyakraen.com website par follow kare.Thankyou.
Ishe bhi padiye : YouTube Stories Tab se paise kaise kamaye
0 comments:
Post a Comment
Please Don't Post Spam Links