YouTube Stories Tab Kaise Add Kare | YouTube Stories Kya Hai

YouTube Stories for creators.YouTube channel me Stories tab kaise add kare. YouTube Stories kya hai ? YouTube story kaise Upload karte hai.agar aap bhi in sab question ka answer chahte hai,toa aap bilkul sahi post ko pad rahe hai.

YouTube Stories Tab/Feature Kaise Add Kare step  by step puri jankari hindi me. YouTube Stories Feature ki puri jankari hindi me.

YouTube Stories Tab/Feature Kya Hai


YouTube Stories ek YouTube creators ko diye jane bala 2018 ka new Feature hai.abhi kuch din pahle hi YouTube ne yeh feature launch kiya hai.jo ki dhire dhire sab YouTube creators ko milna start ho gya hai.

YouTube Stories Kaise Kaam Karta Hai


YouTube Stories ko aap YouTube home page par bhi dekh sakte hai.jub koi YouTube par video dekh raha hota hai tab ushe YouTube features par add ki gyi Youtuber ki story dikhai deti hai.jishpar direct click karke bho apne subscribe kiye huye channel ki story ko dekh sakta hai.

● Merry Christmas WhatsApp,r status, videos and fhoto download

YouTube Stories Kahan Use Kare

YouTube Stories ko mobile phone ke liye banaya gya hai.yeh ek esa Feature hai jise aap chalte fhirte YouTube app ke home page par dekh sakte hai.jaisa ki humne upar bataya ke koi jub YouTube app me kisi ka video dekh raha hota hai,tub ushe YouTube ke home page par kahin bhi Youtubers ki banai gyi choti-choti Stories dikhai deti hai.agar aapko YouTube Stories ka features mil gya hai toa aap bhi apni choti si story create karke apne YouTube channel par upload kar sakte.

● Google drive se WhatsApp ka data kaise delete kare
● WhatsApp chalate hai toa ishe ignore na kare

YouTube Stories Feature Kaise Milega


Stories Feature ko lene ke liye pahle aapko apne channel ko ishke kabil banana hoga.ushke baad hi aapke channel ko yeh feature milega.youtube Stories ka feature lene ke liye aapke channel par 10,000 se jayada subscribers hone jaroori hai.kyunki abhi yeh Feature kebal unhi channels ko diya ja raha hai,jinke channel par 10thousand subscribers complete ho gye hai.

Note : Agar aapke YouTube channel par abhi-abhi 10,000 subscriber complete huye hai toa aapko 2 To 4 week tak ka wait karna hoga.ushke baad aapko bhi Feature mil jayega.

● YouTube video viral kaise kare
● WhatsApp tips and tricks
● WhatsApp secrets features

YouTube Stories Feature Kaise Add Kare


Jaisa ki hum aapko upar bata chuke hai,ke Stories Feature ke liye aapko apne channel ko ishke labil bana hoga.agar aapka channel Feature tab lene ke liye eligible hai,toa aub aapko YouTube Stories tab mil chuka hoga.magar abhi aap ushe apne channel me add nahi kar paye honge.kyunki features tab ko apne YouTube channel me add karne ke liye aapko humare dawara bataye gye kuch steps ko follow karna hoga.aur ek story create karni hogi.ushke baad aap ishe apne channel me add kar sakenge.toa Stories tab ko apne YouTube channel me add karane ke liye niche batate gye steps ko follow kare.

● YouTube channel ka url kaise Change kare
● WhatsApp top 10 tricks

How To Add Stories Tab On YouTube Channel in hindi

Create A Story
Step : 1 YouTube Stories Tab ko apne channel me add karne ke liye sabse pahle aapko apne mobile phone ki YouTube app me sigin karna hoga.sigin karne ke liye yahan par click kare = YouTube.com

YouTube Stories Tab/Feature Kaise Add Kare step  by step puri jankari hindi me. How to Add Stories Tab on YouTube channel in hindi

Step : 2 Sigin karne ke baad upar camera par click kare.aub yahan par aapko 4 option dikhai denge.

1.Video
2.Live
3.Story
4.Post

Aap upar di gai image me bhi dekh sakte hai.

Step : 3 Yahan aap No.3 Story ke option par click kare.

Step.4 Aub aapke mobile ka camera opne ho jayega.aap camera se ek choti si clip record karke upload kar sakte hai.ya fhir koi photo click karke upload kar sakte hai.aap chahe toa pahle se mobile me pade photo ya video ko bhi select karke upload kar sakte hai.

Step: 5 Aub aap video ko upload karne se pahle ushme kuch change karna chahte hai toa kar sakte hai.video ko edit karke ushke music ko badal sakte hai.ushme kuch cutting karni hai toa kar sakte hai.koi filter jod sskte hai.kuch likhna chahte hai toa likh sakte hai.

● YouTube go kya hai
● WhatsApp se money Transfer kaise kare

Congratulations : first story create karne ke baad aub aap apne YouTube channel par jakar dekhiye aapka Stories Feature/Tab add ho chuka hoga.

● YouTube se paise kaise kamaye
● Google adsense account kaise banaye

Important Information : Aapke dawara create ki gyi story kebal YouTube me 7 din tak hi rahegi.ushke baad bho apneaap remove ho jayegi.lekin ush story par kiye gye comments ko aap YouTube studio me jakar 30 din tak dekh sakte hai.agar koi esa insan aapki story ko dekh raha hai,jishne aapke YouTube channel ko subscribe nahi kiya huya hai,toa bho direct aapki Stories par subscribe ke button par click karke aapke YouTube channel ko subscribe kar sakta hai.


I hope friend aapko yeh post jaroor pasand ayi hogi.agar pasand ayi hai toa ishe apne friends ke sath WhatsApp, Facebook,Tweeter par share kare.aur humain humari kyakraen.com website par follow kare.Thankyou.

Ishe bhi padiye : Aadhaar card me mobile number kaise Change kare

2 comments:

Please Don't Post Spam Links

Translate

Blog Archive