Cancel Cheque Kya Hai || cancelled cheque kaise banaye

Hello friends,
Bank account ke saving account se paise nikalne ke liye aap aksharATM card ka use karte honge.par Bank account se jayada paise nikalne ho toa check book ki hi jaroorat padti hai.lekin aap me se jayada log abhi bhi Cancel check ke bare me nahi jante honge.ishliye aaj ki post me hum aapko batane bale hai ke Cancel cheque kya hota hai,aur ishka kahan aur kaise use karte hai.toa puri jankari ke liye padte rahiye ish post ko akhir tak. 

Bank account ke Cancel cheque ki puri jankari step by step hindi me. Cancel cheque kya hai kaise use kare kya fayade hai puri jankari hindi me..

(Cancel Cheque Kya Hai ?)

Cancel cheque ek tarah ka normal sa check hi hota hai.aapke pass aapke bank account ki jo cheque book hai,ushke cheque par yadi aap 2 tirchi lines khench dete hai,aur bichme CANCELLED likh de toa ush check ko Cancel check kaha jata hai.cancel cheque banane ke liye aapko ushme 2 lines aur CANCELLED ke alava kuch aur nahi likhana hota hai.

● Online shopping karne ke 10 tips

Check par CANCELLED ishliye likha jata hai.taki koi bhi user ish check ka galat ishtemaal na kar paye.aap chahe toa kisi bank ke cheque ko Cancel cheque bana sakte hai.

(Cancel cheque ke kya fayade hai ?)

Yadi koi aapse aapke Bank account ki jankari mangta hai,toa ushe aap bho sari jankari ek Cancel cheque ke dawara de sakte hai.cancel cheque se milne bali jankari niche di gyi hai.

  > Account Holder Name

  > Bank Account Number

  > IFSC Coad

  > MICR

  > Bank Name

  > Branch Name

(Cancel Cheque Ka Kya Use Hai ?)


Cancel cheque ke bare me logon ko jayada jankari nahi hai.cancel check kai chijon ke liye bahot jaroori hota hai.

No.1 : New Bank Account

Yadi aap kisi dushare bank me account open karbana chahte hai,toa aapse bank bale ek Cancel cheque ki demand karte hai.yeh check aapse proof ke toar par liya jata hai.

No.2 : Loan

● Mobile app se paise kaise kamaye

Yadi aap kisi bank se loan lete hai,toa ushke liye aapko ek Cancel cheque dena jaroori hota hai.

No.3 : Investment

Yadi aap market me koi investment karna chahte hai,jaise ki mutual fund ya stack market toa ase me aapko ek kyc karbana jaroori hota hai. Aur ushke liye aapko ek Cancel cheque dena jaroori hota hai.

● Bina internet app download kaise kare

No.4 : Payment

Kai baar kuch company esi hoti hai,jinse yadi aapko kisi bhi tarah ki koi payment leni hoti hai,khaastoar par online payment toa bho aapse Cancel cheque ki mang karti hai.

No.5 : Insurance Policy

Aap yadi kisi Insurance company koi different tarike ki Policy karbana chahte hai,jaise ki health insurance toa aapko unhe ek Cancel check dena padta hai.
I hope friend ish post ko pura padne ke baad aap bhi Cancel  cheque ke bare me kafhi kuch samjh gye honge.agar aapko yeh post pasand ayi hai,toa ishe apne friends ke sath jaroor share kare.aur humain humari www.kyakraen.com website par follow kare.Thankyou.
Cancel cheque ki aur jayada jankari ke liye aap yeh video bhi dekh sakte hai. 



0 comments:

Post a Comment

Please Don't Post Spam Links

Translate

Blog Archive