ATM Se Bank Ka Mobile Number Kaise Change kare || ATM Se Mobile Number Ragisterd Kaise Kare

Hello friends,
ATM Machine se apna Bank  me register mobile number kaise Change kare, ya new number kaise Ragisterd kare.aaj ki ish post me hum aapko step by  step yehi puri jankari dene bale hai.ke kaise aap kuch step ko follow karke apne SBI Bank ke account me apne registered Mobile number ko asani se Change kar sakte hai ya Ragisterdkar sakte hai.agar aap bhi yeh puri jankari chahte hai toa padte rahiye ish post ko akhir tak.

ATM machine se Bank me mobile number kaise Change ya Ragister kare puri jankari step by step hindi me


Aaj ke samay me har kisi ke pass apna khud ka kam se kam ek Bank  account toa jaroor hai.aapke pass bhi hoga.aur agar bank account hai toa ush account se registered ek Mobile number bhi jaroor hoga.kyunki jub bhi aap apna bank me account open karbate hai toa aapse aapka contact number manga jata hai.jispar bank aapko jaroori jankari dene ke liye any time aapse contact kar sake.toa aap apna mobile number bahan de dete hai.par kabhi aap kisi karan se apna mobile number Change karna chahte hai.toa aapko new number ko purane number ki jagah badalne me paresaniyon ka samna karna padta hai.agar aaj se kuch samay pahle ki baat kare toa aapko apne bank account se apna number change karbane ke liye bank jana hota tha.aur request ke toar par number Change karbane ke liye ek application deni hoti thi.ushke baad aapka Mobile number Change kiya jata tha.

● Online Bank ka Ragister number kaise Change kare
● Bina Debit,Credit card online shopping kaise kare
● Android apps ka password kaise secure kare

Magar aub samay badal gya hai,agar aap apna Bank me registered number Change karna chahte hai,ya new number Ragisterd karna chahte hai,toa aapko keval ATM machinetak jana hoga.aur aap kuch step ko follow karke badi hi asani se apna mobile number Change kar sakte hai,ya new mew number  Ragister kar sakte hai apne Bank account se.

Hum niche aapko batane ja rahe hai,ATM machine ke jariye bank account se link Mobile number ko Change karne ka ra Ragisterd karne ka aasan tarika.aapko ishke liye keval ATM machine tak jana hoga.aur niche diye gye kuch simple se step ko follow karke aap asani se apna bank se registered mobile number Change ya Ragisterd kar sakte hai. Toa chaliye jaan lete ke kaise ATM machine se registered mobile number Change ya Ragisterd karte hai.

● LPG gas subsidy kaise check kare
● Aadhaar card ki jankari kaise lock kare 
● Lic Policy ka status kaise check kare

(ATM Se Mobile Number Kaise Ragister kare)


Step.1 = Subse pahle apna card Swipe kare.

Step.2 = Card Swipe karne ke baad kuch options show honge.

Step.3 = Aub aapko mobile  registration par click karna hai.

Step.4 = Aub aapse aapka ATM pin manga jayega.pin enter kare.aur continue par click kare.

Step.5 = Continue par click karne ke baad aapke samne ATM machine ki screen par kuch options show honge,ushme se aap Mobile number registration par click kare.

Step.6 = Aub aapke samne new registration ka option show hoga,SBI Bank me new mobile number Ragisterd karne ke select kare.

Step.7 = Aub apna bho mobile number enter kare,jise aap Ragisterd karna chahte hai.fhir correct ke option par click kare.

Step.8 = Correct ke option par click karne ke baad Number ko confirm karne ke liye fhir se ushi number ko re-enter karke confirm par click kare.

Step.9 = Aub ATM machine ki screen par aapke samne "You Have Successfully Update Your Mobile Number" likha hua dikhai dega.aur aapke phone number par ek Reference number receive hoga.aapko bahan par bataye gye Format me ush Reference Number ko 567676 par Send karna hoga.

● YouTube se paise kaise kamaye
● Google Adsense account kaise banaye
● Internet se paise kaise kamaye

(ATM Se Mobile Number Change kaise kare)


Step.1 = Subse pahle apna card Swipe kare.

Step.2 = Card Swipe karne ke baad kuch options show honge.

Step.3 = Aub aapko mobile Registration par click karna hai.

Step.4 = Aub aapse aapka ATM pin manga jayega.pin enter kare.aur continue par click kare.

Step.5 = Continue par click karne ke baad aapke samne ATM machine ki screen par kuch options show honge,ushme se aap Mobile number Change par click karke apna number Change kar sakte hai.

Toa ish tarah se aap ATM machine ki help se apne registered mobile number ko Change ya new number ko Ragister kar sakte hai.i hope aapko yeh post jaroor pasand ayi hogi.agar pasand ayi hai toa ishe apne friends aur family members ke sath share kae.aur humain humari www.www.kyakraen.com website par follow kare.Thankyou.

Ishe bhi padiye = WhatsApp tips and tricks

0 comments:

Post a Comment

Please Don't Post Spam Links

Translate

Blog Archive