LPG gas subsidy kaise check kare | dbtl scheme | How to complaint Lpg cylinder

Hello friends,
dbtl scheme ki pahal karke bharat sarkar ne LPG cylinder ki subsidy direct upbhokta ke bank account me transfer karne ka faishla kiya tha.magar kuch logon ko gas ki subsidy unke account me mili aur kuch logon ko nahi mili.agar aapki bhi LPG gas ki subsidy aapke bank me aub tak nahi ayi aur aap jankari chahte hai ke ishki kaise complaint karni hai.toa padte rahiye ish post ko akhir tak.

Bharat ki pahal.bharat gas id.dbtl scheme kya hai.LPG complaint kaise kare.


(dbtl scheme)

Aap yeh toa jante hi honge ke bharat sarkar nagrikon ko gas connection par subsidy de rahi hai.ish scheme ka naam government ne gas dbtl rakha hai.ishka pura matlab (Direct Benefit Transfers for LPG) hoti hai.

Android secret setting 
Android secret coad 
Top 5 Android Apps 
WhatsApp chat locker
Google Search History 

Ish scheme ke jariye govt.LPG gas connections ki pahunch ko sab logon tak pahunchana chahti hai.halanki kuch logon ko ishke bare me jankari hi nahi hai.ke unke bank account me subsidy arahi hai ya nahi.aur logon ko yeh bhi pata nahi hota hai,ke LPG subsidy ka status kaise check kar sakte hai.aur ishi bbajah se kai baar logon ki subsidy kisi aur ke bank account me pahunch jati hai.aur unko kuch bhi pata nahi chal pata.

Lic policy online kaise check kare 
Bina internet website kaise open kare 
Computer keyboard shortcuts 

Agar aap bhi LPG gas ke upbhokta hai,aur jankari chahte hai,ki aapke bank account me kitni aur kab-kab subsidy ayi ai aapki.toa aap yeh sab kuch apne ghar par baith kar hi check kar sakte hai.aur check karne ke baad aapko pata chalta hai,ki aapki subsidy galat account me ja rahi hai,toa aap ushki complaint bhi kar sakte hai.

Toa chaliye pahle jaan lete hai,ke LPG gas ki subsidy ka status kaise check karte hai.bus aap niche diye gye step ko follow kariye.

(How To Check LPG Gas Subsidy In Hindi)

Yahan hum aapko batane ja rahe hai,Ghar par baith kar hi LPG gas ki subsidy ka pata karne ka aasan tarika.

Step 1 = Sabse pahle aapko www.mylpg.in ki site par jana hoga.yahan aapko 3 gas ki company ke naam milenge.aub ishme se aal jis company ke costumer hai,ush par click kare.

Step 2 = Click karte hi 1 new page opne hoga.aub aapko ishme apna LPG id aur register mobile number bharna hoga.

Step 3 = LPG id dalne ke baad aapko aapki subsidy ki puri jankari yahan par mil jayegi.ishme aub aap dekh sakte hai,ke aapke account me kab-kab aur kitni baar subsidy ke paise dale gye hai.

Facebook fake account ki report kaise kare 
YouTube se paise kaise kamaye
Google adsense account kaise banaye 

(LPG Gas Ki Complaint Kaise Kare)


Note : Aub agar aapko lagta hai,ke aapke subsidy ke paise aapke bank account me nahi aye hai,toa aap apni sikayat ko bhi darj karba sakte hai.sikayat hi aap online feedback option me apna feedback bhi de sakte hai.

Step 1 = Agar aapko lag raha hai,ke aapke bank account se aapke LPG account ko link nahi kiya gya hai,toa aap LPG distibuter distibuter centre jakar confirm kar sakte hai.yani puri jankari le sakte hai.

Step 2 = Kai baar esa bhi hota hai,ke subsidy galat account me transfer kar di jati hai,ase me aap apna sahi account number dekar apni subsidy ko apne bank account me transfer karba sakte hai.

Step 3 = Ishke alaba aap bank me bhi iayi subsidy ka pata kar sakte hai.

Step 4 = Yeh toa hai online aur offline tarike,ishke alaba aap tollfree number 18002333555par call karke complaint bhi kar sakte hai.

Toa yeh thi jankari ke kis tarah se aap gas ki subsidy ka status check kar sakte hai.aur complaint kar sakte hai.agar aapko yeh post pasand ayi ho toa ishe apne friends aur family members ke sath share kare.aur humain humari website www.kyakraen.com par follow kare.Thankyou.


Ishe bhi padiye = Aadhar card ki jankari lock aur unlock kaise kare


1 comment:

Please Don't Post Spam Links

Translate

Blog Archive