Aadhar Card Ki Jankari Lock Kaise Kare || How To Lock & Unlock Aadhar Card Information

Hello friends,
Aaj ke samay me har kaam ke liye Aadhar card jaroori hai.aap indra me rahte hai,aur aapka aadhar card nahi hai,toa aap government ki najar me Indian ho hi nahi.yani aadhar card kafi important hai.aur agar aapke pass aadhar card hai,toa ushki suraksha bhi aapki jimedari hai.yani ushke chori hone ka khatra lagataar bana rahta hai.ishliye aaj ish post me hum aapko batane bale ke kis tarah se aap apne aadhar card ko ghar par baith kar hi lock karke rakh sakte hai.puri jankari ke liye padte rahiye ish post ko akhir tak.

Apne aadhar card ki puri jankari ko lock aur unlock kaise kare. Puri jankari step by step hindi me.

Jaisa ke humne aspko bataya ki aadhar card aaj ke samay me har kaam ke liye jaroori ho chuka hai.mobile number,pan card,bank account har jagah aadhar card link karna jaroori ho chuka hai.keval ek aadhar card se humari takriban har jaroori jankari judi hai.lekin kabhi aapke aadhar card ki jankari leek ho jaye toa ? Kabhi kisi ne aapke aadhar card ka galat fayeda utha liya toa ?agar aap ish baat ko lekar tension me hai,toa aub aspko paresaan hone ki koi jaroorat nahi hai.kyunki aub aap apne aadhar card ki jankari ko lock karke rakh sakte hai.toa chaliye hum aapko batate hai ke aadhar card ko kaise lock karke rakh sakte hai. Yeh ek Biometric locking sistyam hai.ishke baad koi bhi aapke aadhar card ki jankari ka galat ishtemal nahi kar payega.aadhar card ki jankari lock aur unlock karne ke liye niche diye gye step ko follow kare.

Internet se paise kaise kamaye
5 amazing websites 
Phone heat kyun hota hai 

(Aadhar Card Lock Kaise Kare)


Step 1 = Apne aadhar card ko lock karne ke liye sabse pahle aapko UIDAI ki website par jana hoga.

Aap yahan par click karke sidhe UIADI ki site par ja sakte hai = .Biometric Lock

Step 2 = Aub yahan uid ke box me apna 12 ankon ka aadhar number dale.

Step 3 = Aadhar number ke nicge security coad daliye.

Step 4 = Security coad dalne ke baad Generate / sent otp par click kariye.

Step 5 = Ishke baad aalke ragister mobile number par 6 digits ka otp sand kiya jayega.

Step 6 = Aub ush otp ko dyan se side bale box me daal de.

Step 7 = Aub login par click kare.

Step 8 = Ek baar fhir se dikhaye gye box me security coad dale.

Step 9 = Aub aadhar card lock karne ke liye Enable Button par click kar de.

Step 10 = Enable ke Button par click karte hi aapka biometric lock ho jayega

Aub aapka aadhar card lock ho gya hai.aub ishe koi bhi aapke biometric data use nahi kar payega.aap khud bhi nahi,ishe use karne ke liye aapko ishe Desable karna hoga.ushke baad aapka aadhar card unlock ho jayega.aur aap use kar sakte hai.

Bina internet app download kaise kare 
Mobile ko computer ka keyboard aur mouse kaise banaye
Lic policy ka status kaise check kare 

(Aadhar Card Unlock Kaise Kare)


Step 1 = UIADI ki website par jaye.

Step 2 = Aub 12 number bala aadhar number dale.

Step 3 = Ishke baad aadharnumber ki niche dikh rahe security coad ko dale.

Step 4 = Aub Generate sent otp par click kare.

Step 5 = Ishke baad aapke ragister mobile number par otp sent kiya jayega. Ush otp ko ishme likh de.

Step 6 = Aub login par click kare.

Step 7 = Fhir se dikhaye gye box me security coad dale.

Step 8 = Aub Desable par click kar de.

Step 9 = Aub aapka aadhar card unlock yani Desable ho gya hai.

Bina internet website kaise open kare 
WhatsApp tips and tricks
Mobile tower side effects 

Ish tarah se aap apne biometric information ko lock aur unlock kar sakte hai.

I hope friend aapko yeh jankari jaroor pasand ayi hogi,agar pasand ayi ho toa ishe apne friends aur family members ke sath share kare,aur humain humari website www.kyakraen.com par follow kare.thankyou.


Ishe bhi padiye = Amazon se paise kaise kamaye

0 comments:

Post a Comment

Please Don't Post Spam Links

Translate

Blog Archive