Lic Ki Slip Kaise Download Kare || How To Download Lic Premium Receipt || in hindi
Lic ka premium aap apne agent ke pass hi jama karbate honge.ya phir lic ke office me jakar jama karte honge.aur aapko ushki slip bhi ushi samay mil jati hogi.lekin yadi bho slip gum ho jaye ya aapko achank ushki jaroorat pad jaye,toa bho aapko nahi milegi.magar aaj hum aapko jo tarika batane ja rahe hai,ush se aap kabhi bhi apne mobile se hi apni Polices ki slip ko download kar sakte hai.puri jankari ke liye padte rahiye ish post ko akhir tak.
Lic kya hai.Lic kyun jaroori hai,Lic ka premium apne mobile phone ya computer
se apne ghar par hi kaise jama kar sakte hai.yeh sari jankari hum humari pichli post me pad chuke hai.agar aapne bho sari post nahi padi hai,toa aap bho sari lic se related post padne ke liye yahaan par click kariye =LIC OF INDIA
. Mobile tips and tricks 2018
. WhatsApp tips and tricks
.WhatsApp secret feature
. WhatsApp se money transfer kaise kare
. Mobile app kaise banaye
(Lic Of India Me Ragister Karne Ke Fayde)
Agar aap apna Lic of India ki website par ragisteretion karke apna ek account banate hai,toa aap apni sari policy ka status ek jagah par hi dekh sakte hai .
Apni policy ka hi nahi balki apni wife ki sari polices aur apne children's ki bhi sari polices ko add karke unka bhi status apne account par hi dekh sakte hai.
Lic me online ragisteretion karke polices ka status kaise check karte hai,puri jankari ke liye aap yahan par click kariye =Lic policy ka status kaise check kare
aap Lic par apna account banakar apni kisi bhi policy ka aur apne childrens aur wife ki policy ka bhi premium check kar sakte hai.aur unki kist bhi bahin se jama kar sakte hai.
Online Lic polices ka premium kaise jama karte hai,puri jankari ke liye aap yahan par click kariye =Lic Premium Online kaise bhare
(Online Payment Karne Se Receipt kaise Milegi)
Online Lic ki payment karne ke 2 tarike hai,pahla aap Lic of India ki website par jakar bina ragisteretion kare kist jama kar sakte hai.
Dushra aap Lic of India ki website par ragisteretion karke kist jama kar sakte hai.
Agar aap ragisteretion karke kist jama karenge,toa aapko aapke diye gye email address par jama ki gyi kist ki slip bhej di jati hai.ushe aap apne mail box me jakar download karke print karba sakte hai.
Lekin aapko agar mail ke dwara slip nahi milti hai,ya aapka mail gum ho jata hai,toa aap niche bataye gye step ko follow karke apni jama ki gyi kisi bhi years ki slip ko jub chahe tab download kar sakte hai.
. Mobile me face unlock feature kaise add kare
. Mobile apps tips and tricks
. YouTube se paise kaise kamaye
. Google adsense account kaise banaye
(Lic Premium Ki Receipts Kaise Download Kare)
Apni Licki jama ki hui kisi bhi years ki slip ko download karne ke liye, sabse pahle apne computer,laptop ya mobile me Google open kar le.ushke baad Google par Lic of India search kare.
Step 1 = user id /mobile number daliye
Step 2 = password daliye
Step 3 = date of birth daliye
Step 4 = sign in par click kare de
Sari details bharne ke baad Lic of India me apna account login kare.
Login hone ke baad aapko Basic Sarvices ka option dikhai dega,ushpar click kar de.
. Mobile app se paise kaise kamaye
. Mobile se paise kaise kamaye
. Bina internet app download kaise kare
Basic Sarvices par click karte hi aapke samne next page opne ho jayega.ishme sabse upar Online Payment Receipts ka option dikhai dega.ishpar click kar de.
No.1 > upar image me dekhiye,Yahan par click karte hi niche ek popup page open hoga.bahan se aap bho date select kar sakte hai,jis date ki aap slip download karna chahte hai.toa jis year ki slip aap download karna chahte hai bho select kar le.
No.2 > yahan par jis policy ki slip download karna chahte hai,ushke samne tick laga de.
No.3 > aub Download par click kar de.
. Mobile phone heating solutions hindi me
. 5 amazing websites
. Internet se paise kaise kamaye
Jaise hi aap download par click karenge toa aapke samne aapki jis year ko select kiya hai,ush year ki slip download hokar aapke samne ajayegi.
Toa ish tarah aap apni jama kiye huye premium ki slip ko download kar sakte hai. Asha karta friend yeh post aapko jaroor pasand ayi hogi.agar koi swal ho toa aap niche comment karke puch sakte hai. Aur agar aapko yeh post pasand ayi ho toa ishe apne friends aur family members ke sath share kare.aur humain humari website kya par follow kare.thankyou.
Mobile phone par lic policy ki slip kaise download karte hai,yeh puri jankari step by step ish video me di gyi hai =
Ishe bhi padiye =Amazon se paise kaise kamaye
About Author
Suresh Kumar Sharma
Hello Friends,
Mera naam Suresh Kumar Sharma hai.aur kya kraen website meine banayi hai.me yahan par logo ko hindi me jankari deta hoon ! Read More>>
0 comments:
Post a Comment
Please Don't Post Spam Links