Aaj ke samay me har insan ko Computer ki jaroorat padti hi hai.kyunki jis kaam ko kai log ghanto me karte hai,Computer ush kaam ko kuch hi second me pura kar deta hai.ish se mehnat aur paise dono ki bachat hoti hai. Aap jante hi honge ki computer ko chalane ke liye mouse ka ishtemal hota hai.lekin kai baar humara mouse achanak kharab ho jata hai,toa ase me computer ke keyboard se hi hum mouse ka kaam kar sakte hai. Lekin keyboard se mouse ka kaam lene ke liye aapko keyboard ke shortcuts ke bare me pata hona jaroori hai.ishliye aaj ki ish post me hum aapko computer ke keyboard ke 15 shortcuts ke bare me batane bale hai,puri jankari ke liye aap padte rahiye ish post ko
Jaise jaise taknik bhadti ja rahi hai,baise baise computer ki bhi jaroorat bhadti ja rahi hai.aapka ek ek pal beskimti hai.ishliye computer ka ishtemal karte samay keyboard ke shortcuts ka use karke aap apna bahot sara samay bacha sakte hai. computer me kuch asi shortcuts hoti hai,jinki jaroorat documents banate samay,email likhte samay,aur dushari kai jagahon par padti rahti hai. Shortcuts keyboards ka ishtemal karne par samay ki bachat ke sath hi computer chalane me bhi asani hoti hai.
Ishliye aaj hum aapko 15 best shortcuts keyboard ki jankari dene bale hai.niche ki puri post ko dayan se padne ke baad aap computer ke 15 shortcuts keyboard ke bare me jaan jayenge,aur yeh 15 shortcuts keyboard aapke bahbisye me bahot kaam ayenge.toa chaliye jante hai,15 shortcuts keyboard ke bare me.
. WhatsApp tips and tricks
. Mobile phone tips and tricks
. Mobile se delete huye photo aur videos wapis kaise laye
. Fake facebook account kaise report kare
(Computer Top 15 shortcuts Keyboard)
No.1 > (Ctrl+F) = Word Search
Kisi document ya internet ke kisi page par logon ki list me se koi word ya kisi naam naam ko khojne ke liye aap ishka ishtemal kar sakte hai.
Yeh shortcuts keyboard press karne ke baad screen par right side me aapko jo bhi word khojna hai,ushe type karke enter karna hoga,e tenter karte hi aap asani se ush word par pahonch jayenge.
. Mobile me kabhi bhi save na kare
. Mobile app kaise banaye
. WhatsApp se money transfer kaise kare
No.2 > (Ctrl+Z) = Undo
Aap chahe ms par kaam kar rahe ho,ya internet par koi emai type kar rahe ho,Ctrl+Z ka ishtemal karke aap ek step piche ja sakte hai.
Aap ishka ishtemal karke world me pura paragraph ek hi baar me delete kar sakte hai.
No.3 > (Ctrl+W) = Close
Maan lijiye ke aapne computer ke browser par ek sath kai sare tab opne kar rakhe hai,aur ushi samay achanak kisi tab ko close karna chahte hai,toa aap ishka ishtemal kar sakte hai.
Ish shortcut keyboard ka ishtemal karke aap kisi image ko bina cut par bhi click kiye direct close kar sakte hai.
. Lic Premium Online kaise bhare
. YouTube se paise kaise kamaye
. Adsense Account Kaise banaye
No.4 > (Ctrl+A) = Select All
Ish shortcut ka ishtemal kisi document ke pure text ko ek sath select karne ke liye kiya ja sakta hai.ishke alaba kisi folder ke puri file ko select karne ke liye kiya ja sakta hai.
Ishka ishtemal karke aap apne samay ko bhi bacha sakte hai. Agar aap ishka ishtemal nahi karte hai,toa mouse ko click karne aur drag karne me samay barbaad hota hai.
No.5 > (Ctrl+Esc) = Start Menu Open
Ish shortcut ki madad se aap bina mouse ka ishtemal kiye start menu open kar sakte hai.
Agar aap lagataar keyboard ka ishtemal karna chahte hai,toa corsar,tab aur Shift+Tab se start menu ko nevigat kar sakte hai.
. Mobile app ka naam aur icon kaise change kare
. Google app se paise kaise kamaye
. Mobile app se paise kaise kamaye
No.6 > (Alt+Tab) = Ek Window Se Dusare Window Me Jaye
Agar aap ek window se dusare window par jana chahate hai,toa aap ishka ishtemal kar sakte hai.
Ishke alaba bhi agar aapne computer me kai tab opne kar rakhe hai ,toa aap ishka ishtemal karke ek tab se dusare tab par asani se ja sakte hai.
No.7 > (Alt+F4) = Window Ko Close Kare
Maan lijiye agar aapke computer par kai sare window open hai,toa aap ishka ishtemal karke unhe close kar sakte hai.
Agar aapne mater save nahi kiya hai,toa aapko paresan hone ki jaroorat nahi hai,kyunki computer aapko mater save karne ke liye screen par massage dega.
No.8 > (F2) = Rename File
Agar aap window me kisi file ko rename karna chahte hai,toa aap ishka ishtemal kar sakte hai.
Ishke alaba Microsoft word me kisi file ka print preview dekhne ke liye bhi aap ishka ishtemal kar sakte hai.
. Tv ko computer ka monitor kaise banaye
. Mobile ka battery backup kaise bhadaye
No.9 > (F3) = Find Search Box
Agar aapko search box ko dundne me koi paresani ho rahi ho,toa aap ishka ishtemal karke search box ko khoj sakte hai.
Fhir ishke baad aap kisi file ya folder ko search kar sakte hai. Ishke alaba,ms-dance me ishe press karne par pahle type ki gyi comand dobara type ho jati hai.
No.10 > (F5) = System Refresh
Ish shortcut ka ishtemal system ko refresh karne ke liye kiya jata hai
Ishke alaba aap power point me ishe press karke ishe slid show me start kar sakte hai.
. Mobile ko computer ka keyboard aur mouse kaise banaye
. Bi na internet app kaise download kare
No.11 > (F7) = Microsoft Word
Ish shortcut ki madad se aap speling ko automatic check kar sakte hai.
Microsoft word me ish shortcut key ko press karne ke baad agar aap kuch bhi type karenge,toa ush word ki spelling automatic check hone lagegi.
No.12 > (F11) = Internet Browser
Ish shortcut key ka ishtemal computer ki screen ko full size ka karne ke liye kiya jata hai.
Aap internet browser me full screen view karne ke liye ish shortcut ka ishtemal karkar sakte hai.
No.13 > (Win+1) = Open Setting
Aap ish key ka ishtemal karke system ki setting ko asani se opne kar sakte hai.
Ishke alaba aap Win+A par click karke action center panel bhi opne kar sakte hai,fhir notification dikhai dega.ishke baad aap setting opne kar sakte hai.
. Mobile heat kyun hota hai
. 5 amazing website
. Blog,Blogger,Blogging kya hai
No.14 > (Win+L) = Computers Lock
Aap computer ko lock karne ke liye ish shortcut ka ishtemal kar sakta hai.
Ish shortcut keyboard ki madad se aapka computer lock ho jayega aur dobara ishtemal karne ke liye aapse user id aur password manga jayega.
No.15 > (Win+S) = Search Window
Agar aap window aur web ko baar baar search karte hai,toa aap ish shortcut ka ishtemal kar sakta hai.
Window aur web ko search karne ke liye aap Win+S key shortcut keyboard ka ishtemal kar sakta hai .
Toa friends aub aap jub bhi computer ka ishtemal kar rahe honge,toa aap in 15 shortcuts ko jaroor ishtemal kariyega.ish post releted agar aapka koi sawal ho toa aap niche diye gye comment box me likh kar puch sakte hai.Aur agar aapko yeh post pasand ayi ho toa ishe apne friends aur family members ke sath share kare aur humain humari website www.kyakraen.com par follow kare.thankyou.
0 comments:
Post a Comment
Please Don't Post Spam Links