Android Mobile Me Face Lock Kaise Lagaye || Face Lock || Mobile Tricks In Hindi
Smart phone me pichle saal tak fingerprint ki kafi charcha thi.lekin aub yeh charchaen kam hone lagi hai.kyunki aub fasial recognition ki demand hone lagi hai.lekin face unlock ka feature abhi tak mahnge Smart phone me hi avleble hai.magar aaj ki post me hum aapko batane ja rahe hai,ke aap apne kisi bhi purane android phone me face unlock ka feature add kar sakte hai. Puri jankari ke liye padte rahiye ish post ko akhir tak.
(Fingerprint Unlock)
2018 tak lagbhag har new ane bale phone me aapko fingerprint screen unlock ka feature mil jata hai.ish feature se aap apne finger ko apne mobile phone ki screen unlock karne ke liye set kar sakte hai.fhir ushke baad aapka Smart phone keval aapke finger ko tuch karne se hi unlock ho jata hai.fingerprint unlock ka feature takriban takriban aaj har smart phone me ata hai.
. Jio phone ki new apn settings
. Jio security antivirus kaise use kare
. Unknown number ki details kaise pata kare
. Internet se free call kaise kare
. Mobile heat kyun hota hai
(Face Unlock)
Fingerprint unlock ke baad aub face unlock feature ki demand teji se bhadne lagi hai.lekin abhi tak face unlock ka feature kuch hi smart phone me ata hai.jaise (iPhone x)(Samsung galaxy note 8)(one plus 5T) me aapko face unlock ka feature mil jata hai.lekin yeh sab smart phone kafi mahnge hai.inhe kharid pana har kisi ke bus ki baat nahi hai.
lekin aub xiaomi ne face unlock ke feature ko apne kuch smart phone me add kiya hai.aur in smart phone ki kimat bhi kuch kam hai.face unlock ka feature aapko (mi a1) aur (redm note 5 pro) 13,999 rupay me mil jayega.
Lekin yeh kimat bhi kuch kam nahi hai.lekin yadi aap keval face unlock feature ke liye itane mahnge smart phone kharidne ki soch rahe hai,toa ruk jaiye kyunki hum aapko agye ki post me batane ja rahe hai,ek trick jishki madad se aap apne purane android mobile me hi face unlock ka feature use kar sakte hai.apne purane smart phone me face unlock ka feature add karne ke liye aap niche diye gye steps ko follow kariye.
. Bina internet app download kaise kare
. Mobile ko computer ka mouse aur keyboard kaise banaye
. Phone par kisi bhi shahar ko live kaise dekhe
(Kisi Bhi Android Mobile Me Face Unlock Kaise Feature Kaise Add Kare)
Agar aapke smart phone me bhi face unlock ka feature nahi hai,toa aapko sabse pahle Iobit Applock : Face Lock & Fingerprint Lock 2018 naam ki app ko apne mobile phone me install karna hoga.
Ish app ko aap google play store se download kar sakte hai.
Ya fhir niche diye link par click karke sidhe hi apne Mobile phone me download kar sakte hai.
DOWNLOAD APP
Step 1 : app install hone ke baad open kar le.
Step 2 : open hone ke baad aapse ek 4 se 6 number ka pin coad create karne ko kaha jayega,ek pin create kar le.
Step 3 : pin create karte hi aap ishke home page par pahonch jayenge.yahan aapke samne aapke mobile phone me pahle se install sari apps show hone lagegi.
Step 4 : aub aap apne mobile ki jis app ko lock karna chahte hai,ush app ke samne bane lock ke icon par click karke lock kar sakte hai.aap jis bhi app ko lock karenge bho app aapke dwara create kiye gye pin se hi unlock hogi.
Step 5 : face unlock ke liye aub aapko upar left side me 3 line hai un par click karna hai.
Step 6 : 3 line par click karne ke baad aapko 3rd option face lock ka dikhai dega.ishpar click kar de.
Step 7 : face lock par click karne ke baad aapke samne start ka option ajayega.ishpar click kare.
Step 8 : start par click karne ke baad face lock downloading al database start ho jayega.yeh 1% se 100% tak pura hone tak wait kare.
Step 9 : downloading complete hone ke baad enable now ka option ajayega.ishpar click kare.
Step 10 : aub yahan par aapse aapke face ko scan karne ko kaha jayega.apne face ko scan kariye lock set karne ke liye.
Step 11 : aapka face unsuccessfully scan hone ke baad aalka face lock ka feature enable ho jayega.
Step 12 : aub aap apne mobile ki screen ko apne face se lock karna chahte hai,toa screen lock par click karke screen ko lock kar sakte hai.agar aap kisi app ko apne face se lock karna chahte hai,toa ush app ke samne bane face ke icon par click karke app ko face lock laga sakte hai.
. Mobile se paise kaise kamaye
. Mobile app kaise banaye
. App se paise kaise kamaye
. Mobile tips and tricks 2018
. Mobile se delete huye photo aur videos wapis kaise laye
Aub aap apne face se apni screen ya lock ki gyi apps ko unlock kar sakte hai.yeh kisi aur ke face se unlock nahi hogi.
Agar aapko kuch bhi smajhne me koi problem aye toa aap niche diye gye comment box me likh kar puch sakte hai.Aur agar aapko yeh post pasand ayi ho toa ishe apne friends aur family members ke sath share kare aur humain humari website www.kyakraen.com par follow kare.Thankyou..
Kisi bhi android mobile phone me face unlock feature add kaise karte hai,step by step puri jankari ke liye aap yeh video jaroor dekhiye =
Ishe bhi padiye = Hybrid sim slot bale mobile phone me 2 sim ke sath micro sd card kaise lagaye
About Author
Suresh Kumar Sharma
Hello Friends,
Mera naam Suresh Kumar Sharma hai.aur kya kraen website meine banayi hai.me yahan par logo ko hindi me jankari deta hoon ! Read More>>
nice information at your article keep sharing with us
ReplyDeleteinstagram per lock kaise lagaye