Aaj ke samay me WhatsApp ka duniya bhar sabse jayada ishtemal hota hai.log har din ushke new new tips and tricks nikalte hi rahte hai.aaj hum bhi aapke liye ish post me kuch khaas top 10 tricks lekar aye hai.yeh tricks aapke bahot kaam asakte hai.puri jankari ke liye padte rahiye ish post ko akhir tak.
(Whatsapp Ke Active Users)
Duniya bhar me WhatsApp ke 1.5 arab monthly users hai,jishme 20 crore se jayada monthly active users india ke hi hai.WhatsApp ke 1.5 arab users ek din me karib 60 arab massage ek dusare ko bhejte hai.facebook ne 19 February 2014 ko 19 arab dollar me WhatsApp ko apne andhar samil kar liya tha.
Friend aap jante hi hai ke WhatsApp ish technology ke daur me kitna popular ho gya hai.takriban takriban har smart phone me aapko WhatsApp ki app mil hi jayegi.WhatsApp duniya bhar me sabse jayda ishtemal hone bala chatting app hai.WhatsApp bilkul free me voice calling,video calling aur chatting ki subida deta hai.ishki help se aap kisi bhi photo ko ya videos ko asani se share kar sakte hai. Aajkal WhatsApp ka ishtemal toa sabhi log karte hai.lekin kuch hi log whatsapp ke bhetreen features ke bare me jante hai.agar aap bhi WhatsApp ke bhetreen features ke bare me nahi jante hai.toa aiye aaj ish post ko padkar aap bhi WhatsApp ke top ke 10 features ke bare me jankari le lijiye.toa chaliye jante hai ke bho koun se top ke features hai.
(Whatsapp Top 10 Features Hindi Me)
No.1 = Aapka Massage Kab Pada Gya Kaise Pata Kare
Agar aapne apne kisi WhatsApp friend ko massage bheja hai.aur ushne bho massage pad liya hai.toa aapke WhatsApp par ush massage ke samne blue tick ho jayega.lekin agar aap yeh janna chate hai.ke aapke friend ne bho massage kab aur kitne samay par pada toa ushe bhi aap asani se jan sakte hai.
Aapne jo massage bheja hai.ushe select kar le.fhir upar right side me bane 'info' ke icon par click kare.aapke click karte hi aapke samne ush massage ki sari details ajayegi.ke bho massage kab deliver hua aur kitne baje ushe pada gya.aap ishka ishtemal groups me bheje gye massage par bhi kar sakte hai.
Toa ish tarike se aap whatsapp par bheje gye massage ke pade jane ka time pata kar sakte hai.
. Mobile app kaise banaye
. Mobile me kabhi bhulkar bhi na kare yeh chijen
. Mobile se delete huye photo aur videos ko wapis kaise laye
No.2 = Group Chat Mute Kaise Kare
WhatsApp me groups chats se ane bale baar baar massage se agar aap paresaan ho gye hai,toa aap whatsapp ke group chat ko bahot asani se mute kar sakte hai. WhatsApp me groups chats ko mute karne ka option pahle se hi diya hota hai.
WhatsApp me groups chats ko mute karne ke liye,sabse pahle group ko open kar le.fhir group ke naam par "Group info" ka option dikhai dega.yahan par aap group chat ko 8 ghante ya fhir 1 hafte ya 1 saal ke liye mute kar sakte hai.
Toa ish tarah se aap WhatsApp ke group me ane bale massage ko mute kar sakte hai.
. Facebook fake account ki report kaise kare
. Mobile se lic premium kaise bhare
No.3 = Emoji Search Kaise Kare
WhatsApp par jaroorat ke samay apni marji ke emoji ko Search karna aasan nahi hota hai.kyunki WhatsApp par dheron emoji bhari padi hai.lekin WhatsApp par apni pasand ki emoji ko Search karne ka ek aasan tarika bhi hai.
WhatsApp par emoji search karne ke liye, sabse pahle aap emoji ke icon par click kare,fhir aap jish tarah ki emoji ko chate hai,ushke suroo ke words type kare.example ke liye maan lijiye aapne type kiya 'Bye Bye' toa,ishse juda yani bye bye karta hua emoji aapko niche dikhai de jayega.jise aap select kar sakte hai. Halanki emoji ka search aur edit ka option vita version par hi avleble hai.
Toa ish tarah se aap WhatsApp par apni pasand ka koi bhi emoji search kar sakte hai.
. YouTube se paise kaise kamaye
. Goggle adsense account kaise banaye
No.4 = Text Ko Bold Aur Etalic Kaise Kare
WhatsApp me 'Bold' aur 'Etalic' format me type karne ka option pahle se hi hota hai.lekin sayad aap inka use na karte ho,ya kabhi kiya hi na ho.kyunki text ko 'Bold' aur 'Etalic' format me karne ka jo shortcut hai, ushe yaad karna utna aasan nahi hai.
Text ko bold karne ke liye (**) 2 star ke bich me,aapko massage type karna hai.aur italic type karne ke liye,undorscore (__) ka ishtemal karna hai. Example ke liye maan lijiye aapko kisi text ko bold me likhna hai,*LOVE* ish tarah se likhna hoga.toa yeh bold me LOVE likh jayega.agar aapko etalic me likhana hai,toa _LOVE_ ish tarah se likhna hoga,toa bho etalic me LOVE kuch ish tarah se likh jayega.
Toa ish tarah se aap WhatsApp me kisi bhi text ko bold aur etalic me likh sakte hai.
. Tez app se paise kaise kamaye
. Mobile se paise kaise kamaye
No.5 = Computer Par WhatsApp Kaise Use Kare
Kai aap bahar ya office me hote hai,ush samay whatsapp ko check karne samay nahi milta.ase me aap computer par hi WhatsApp ka ishtemal kar sakta hai.
Apne mobile phone ke whatsapp app ki setting me jaye,fhir 'WhatsApp Web' ke option ko select kare.computer par web.WhatsApp.com ko login kare.fhir ishke baad quar coad ko scan kare.quar coad scan karte samay aapko yeh dyan rakhna hoga,ke aapka mobile internet se connected hona chahiye.
Toa ish tarah se aap WhatsApp ko computer par bhi use kar sakte hai.
. Tv ko computer ka monitor kaise banaye
. Mobile battery backup kaise bhadaye
No.6 = Whatsapp Reply Ke Liye Remind Kaise Lagaye
Kabhi kabhi esa hota hai,ke aap apne whatsapp par koi massage dekh toa lete hai,lekin ush waqt ush massage ka reply nahi kar pate.ase kisi bhi massage ka baad me reply dene ke liye aap whatsapp remind ka sahara le sakte hai. Aap WhatsApp massage ko 'Unread' kar sakte hai.
Ishke liye chat par click karke iOS par use karne bale users ko swipe karna hota hai.jubki android use karne bale users ko kuch derr tak press karke rakhna hota hai.fhir 'Mark Unread' ko select kar sakte hai.ishse ush chat par blue dot ka mark ho jata hai.ish mark ko hatane ke liye fhir yehi prosses ka sahara lena hoga.
Toa ish tarah se aap whatsapp par baad me reply ke liye remind ko laga sakte hai.
. Mobile par kisi bhi sahar ko live kaise dekhe
. Computer ke keyboard ke shortcuts
No.7 = Favourite Chats Ko Upar 'Pin' Kaise Kare
WhatsApp ne haal hi me apna 'pin' feature launch kiya hai.ishki madad se aap apne favourite users ke chats ko sabse upar 'Pin' kar sakte hai. Esa karne se aapka favourite chat sabse upar dikhai denga.aap ek sath 3 'Pin' ko sabse upar kar sakte hai. Ishse aapko kisi important chat ko dhundne ke liye puri chat list ko scroll nahi karna padega.
Ishke liye aapko kisi users ki chat ko select karna hoga.fhir 'Pin' option ko select karna hoga. Jis chat ko 'Pin' kiya hoga ushe ab aap upar kar sakte hai.
Toa ish tarah se aap WhatsApp me apne favourite chats ko upar pin Kar sakte hai.
. Bina internet app download kaise kare
. Mobile heating solutions
No.8 = Ek Sath Kai Logo Ko Massage Kaise Bheje
Kya aap jante hai, ke aap whatsapp par ek sath kai logo ko massage bhej sakte hai. WhatsApp broadcast massage bhejte waqt kai logo ko ek sath massege bhejne ki subhida deta hai.
Sabse pahle aap apne WhatsApp ke chat option me jaye,fhir 'Menu' par click kare.ishke baad "New Broadcast" par click kare.aub aap jishko bhi koi massage bhejna chahte hai,ushka naam daliye aur fhir "Create" par click kar dijiye.
Toa ish tarah se aap whatsapp par ek sath kai logo ko massage bhej sakte hai.
. WhatsApp par full size ki profile pic kaise lagaye
. 5 amazing websites
No.9 = Whatsapp Data Kaise Save Kare
Kya aap jante hai,ke aap WhatsApp ke data ko bhi save kar sakte hai.nahi toa chaliye jante hai,ke WhatsApp ke data ko kaise save kar sakte hai.
Jab bhi aap wifi se connected ho,tabhi fhoto ya videos ko download kare.ishke liye whatsapp ki setting me jaye,fhi 'Media Auto-Download' par click kare,ishke baad 'When Using Mobile Data' ko select kare.fhir yahan par aapko select ya deselect karne ka option mil jayega,jishse aap select ya fhir deselect kar sakte hai.
Toa ish tarah se aap WhatsApp par data save kar sakte hai.
. Internet se paise kaise kamaye
. Amazon se paise kaise kamaye
No.10 = Important Massage Par 'Star' Kaise Lagye
WhatsApp par bahot se massage ase bhi hote hai,jinki jaroorat humain ane bale samay me padti hai.ase massage ko whatsapp me scroll karke dhundna padta hai.lekin ishka ek bhetreen tarika hai,ke ase massage ko hum 'Star' laga kar rakh le.ishse humain massage ko dhundne me asani hogi.
WhatsApp ke kisi bhi massage ko 'Star' lagane ke liye aapko massage ko select karna hoga.fhir ishke baad star icon par click karna hoga.agar aapko kabhi 'Star' mark massage ko dhundna pade,toa jishko aapne bheja tha,uska naam type karna hoga.fhir "Starred Massage" par jakar sabhi mark kiye huye massage ko dekh sakte hai.
. YouTube ka url kaise change kare
. Google account kaise banaye
Toa ish tarah se aap WhatsApp par important massage ko 'star' laga kar rakh sakte hai.
Toa ab aap jaan chuke hai,WhatsApp ke top 10 features ke bare me,agar aapke pass bhi kisi aur feature ki jankari ho,toa aap humain niche diye gye comment box me likh kar bata sakte hai,aur agar post pasand ayi ho toa,ishe apne friends aur family members ke sath share kariye,aur humain humari www.kyakraen Website par follow kariye. Thankyou.
0 comments:
Post a Comment
Please Don't Post Spam Links