Kya aap ishliye paresaan hai.ke aapke mobile phone se aapke jaroori documents,Photos ya videos galti se delete ho gye hai.agar esa hai toa aub aapko ghabrane ki koi jaroorat nahi hai.kyunki aaj ki ish post me hum aapko asi 3 apps ke bare me batane bale hai.jinki madad se aap apne mobile se delete huye photo ya videos ko asani se wapis apne mobile restore kar sakte hai. Puri jankari ke liye padte rahiye ish post ko akhir tak.
Magar kya aap jante hai.ke esi mobile applications bhi ati hai jinki madad se aap 1 months pahle delete huye photo aur videos ko wapis apne mobile phone me la sakte haii.
. Mobile me kabhi bhi save na kare yeh kaam ki chijen
. WhatsApp se money transfer kaise kare
. Mobile par lic policy ka status kaise check kare
Ji haan aaj hum aapko esi hi 3 applications ke bare me batane bale hai.jinko yadi aap apne mobile phone me rakhte hai.toa aap kisi bhi delete huyi photo ya videos ko badi hi asani se recover kar sakte hai.
Toa chaliye jante hai ki bho kounsi applications hai.aur kaise kaam karti hai.
Puri Jankari ke liye aap mujhe follow kariye.
(DiskDigger Photo Recovery)
DiskDigger Photo Recovery app se aap delete huye photos ko hi recover kar sakte hai.
Ish app ko aub tak 10miliens se bhi jayada log apne mobile phone me download kar chuke hai.
DiskDigger Photo Recovery app ko aub tak 1 lakh 83 thousand se bhi jayada log review de chuke hai.
. YouTube se paise kaise kamaye
. Tez app se paise kaise kamaye
. Mobile se paise kaise kamaye
DiskDigger Photo Recovery app ko apne mobile me use karne ke liye aapko apne phone ko root karne ki bhi koi jaroorat nahi hai. Halanki aap root kiye huye mobile me ish application ko use karenge toa aapko bina root bale phone se kuch behtarr parinaam dekhne ko milenge.
DiskDigger Photo Recovery application se aap delete kiye huye photos ko wapis save kar sakte hai. Aur ushe upload bhi kar sakte hai.
DiskDigger Photo Recovery application ke sare features bilkul free hai.ishka kisi tarah ka aapko koi charge nahi dena padega.
. Mobile ka battery backup kaise bhaday
. Apne mobile par kisi bhi sahar ko live kaise dekhe
. Computer keyboard shortcuts in hindi
DiskDigger Photo Recovery application ko aap sidhe Google play store se download kar sakte hai.google play store par ish application ko 4.2 ki rattling mil chuki hai.
DiskDigger Photo Recovery application ko aap yahan par click karke bhi download kar sakte hai = Download DiskDigger
(DiskDigger Photo Recovery App Kaise Use Kare)
DiskDigger Photo Recovery app ko apne mobile me install karke open kar le.
Open hone ke baad aapko yahan (START BASIC PHOTO SCAN) ka option milega ishpar click kare.
Jish photo ko restore karna hai ushe select kare.aur upar bane recover par click kare.recover par click karte hi aapka photo restore ho jayega.
Restore Image (Super Image)
Restore Image application ko aub tak 10 million se bhi jayada log apne mobile phone me download kar chuke hai.
Restore Image application ko aub tak 59 thousand se bhi jayada log review de chuke hai.
. Mobile ko computer ka keyboard aur mouse kaise banaye
. Bina internet koi bhi app kaise download kare
. Mobile heating solutions hindi me
Restore Image application se aap delete huye photos ko ushi samay restore kar sakte hai. recover kiye huye photos ko aap sd card me bhi save kar sakte hai .
Restore Image application JPG aur PNG dono hi formate ko spport karti hai.
Ish application ko use karne ke liye aapko apne mobile phone ko root karne ki bhi koi jaroorat nahi hai. Aur Yeh application bilkul free hai.aapko ishka koi charge nahi dena padega.
Restore Image (Super Easy) application ko aap google play store se download kar sakte hai. Google play store par ishe aub tak 4.0 ki rattling mil chuki hai.
Restore Image (Super Easy) application ko aap yahan par click karke sidhe hi apne mobile phone me download kar sakte hai = Download Restore Image
(Restore Image (Super Easy) App Kaise Use Kare)
Restore Image app ko download karke open kare.yahan aapko 2 option milenge.
No.1(Search the image you want to restore) ke option par click kariye.aur jis image ko restore karna hai ushe select karke restore kar le.
No.2 (Restore Image) yahan aapko bho image milengi jo aapne restore ki hongi.
(Dumpster: Undelete)
Dumpster application ko aub tak 10 million se bhi jayada log apne mobile phone me download kar chuke hai.
Dumpster application ko aub 2 lalh se bhi jayada log review de chuke hai.
Dumpster application ka size 11mb hai.ish app ki sabse badi baat hai ke aap ish app ki madad se photo aur videos dono ko hi recover kar sakte hai.
. Facebook,WhatsApp,Instagram par full size ki profile pic kaise lagaye
. 5 amazing website jo aapke bahot kaam asakti hai
. Amazon se paise kaise kamaye
Dumpster application se delete huye photo ya videos ko aal bahot hi kam samay me recover kar sakte hai. Ish apl me premium feature bhi diye gye hai.jinki madad se aap apne content ko dushron se sefe kar sakte hai. Iske alava cloud store ka bhi ishme aapko feature mil jayega.
. Google account kaise banaye
. Mobile aur tower ke kya kya nuksaan hai
Dumpster application ko aap google play store se download kar sakte hai. Google play store par aub tak 4.1 ki rattling mil chuki hai.
Dumpster : Undelete & Restore Picture app ko aap yahan par click karke sidhe hi apne mobile phone me download kar sakte hai = Download Dumpster
(Dumpster App Kaise Use Kare)
Dumpster app ko apne mobile me install kare.install hone ke baad open kar le.
Dumpster ke home page par aapko upar ki taraf ek icon milega ush par click kare.
Yahan se aap all ,image,videos,audio,document,other file,folders,apps me se jo bhi restore kar chahte hai bho select kar le.
Select karne ke baad jish photos ya videos ko aap select karenge.ushe aap opne karke bhi dekh sakte hai. Aur restore karne ke liye niche diye gye restore ke option par click karke restore kar sakte hai.
Toa friend umeed hai ke yeh 3 aps aapke liye kafi helful hogi.ar humari jankari bhi.agar aapke pass bhi esi koi app ki jankari hai.toa aap humain niche diye gye comment box me likh kar bataye.aur agar post pasand ayi ho,toa ishe apne friends aur family members ke sath share kare aur humain humari website www.kyakraen.com par follows kare. Thankyou.
0 comments:
Post a Comment
Please Don't Post Spam Links