Yadi aapka koi blog,website ya fhir koi YouTube channel hai,aur uske liye aapne ek adsense account banaya hai,aur aapke account me eearning 10$ se jayada ho gyi hai,toa aub aapko usme apna bank account add kar dena chahiye.Google adsense me bank account kaise add karte hai,puri jakari ke liye padte rahiye ish post ko akhir tak.
(Google Adsense Me Payment Kaise Hoti Hai ?)
Friend google adsense kuch samay pahle tak toa (EFT) electronic funds transfer aur chack ke dwara payment karta tha.
Magar aub website,blog ya YouTube se kamay gye paison ko aap tak pahunchane ke liye google aapke bank account ko mangta hai.
Aur aapki payment ko direct wire transfer se aapke bank account me dal deta hai.
Iske liye aapko apna bank account apne google adsense ke account me add karna hota hai.
. Google adsense address bina pin ke verify kaise kare
. Google adsense address verification ke liye new pin generate kaise kare
. Kisi bhi Mobile app ka naam aur icon change kaise kare
. Google tez app se paise kaise kamay
. Mobile app se paise kaise kamay
(Google Adsense Payment Kab Karta Hai ?)
Friend jab aapke adsense account me 100$ ki payment puri ho jati hai,toa aap google adsense se apni payment ko recieve kar sakte hai.
Aapko apni payment ko recieve karne ke liye apne bank account ko Google adsense me add karna hota hai.
Jis month me aapke adsense account me 100$ ki payment complete ho jati hai,ushi month 21st ko google aapki payment ko aapke dwara diye gye bank account me transfer kar deta hai.
Aur aapke email address par ek mail bhi bhej deta hai,jisme likha hota hai, ki aapki payment aapke bank account me transfer kar di gyi hai.
. Tv ko computer ka monitor kaise banay
. Computer keyboard shortcuts kya hai
. Mobile ko computer ka keyboard aur mouse kaise banay
. Mobile ka battery backup kaise bhaday
. Bina internet koi bhi app kaise download kare
(Adsense Se Payment Ane Me Kitna Samay Lagta Hai ?)
Friend Google adsense aapki payment ko 21st ko aapke bank account me bhej deta hai.
Payment ko aapke bank account me ane ke liye 2 se 4 din ka working days ka samay lag jata hai,bank ki chutti hone ke karan kabhi kabhi 6 se 10 din ka samay bhi lag jata hai.
Yadi 15th days tak aapki payment aap tak nahi pahunchati hai, toa aapko Google adsense ki team se sampark karna hota hai.fhir google adsense ki team pta karti hai ke aapki payment kahan par ruki hai,koi problem hone par aapki payment ko return karke aapke adsense account me add kar deta hai.
Fhir aap ushe next month me fhir se recieve kar sakte hai.
(Google Adsense Me Bank Account Add Karne Ke Liye Kya Jaroori Hai ?)
Bank account ko apne adsense account se jodne ke liye,aapko kuch baton ko khas toar par dhyan me rakhna hota hai.
Tabhi aap thik tarike se apne adsense account se bank account ko link kar sakte hai.
Note.1 : Apka google adsense ka account jjis naam se hai, ush naam ka hi bank account bhi hona chahiye.
Note.2 : Aapka bank account jis branch me hai, ush branch ka aapke pass IFSC code bhi hona chahiye,IFSC ( Indian Financial System Coad) aapki bank ki passbook ke front page par bhi likha hota hai.
Aap chahe toa ishe online search karke bhi pta kar sakte hai,IFSC coad har branch ka alag alag hota hai.
Note.3 : Aapke pass aapke bank account ka Swift-BIC coad bhi hona chahiye.
Agar aapki branch me Swift-BIC coad nahi hai,toa aap apne state me apni branch ke najdik bale kisi aur bank ka Swift-BIC coad de sakte hai.
Magar yahan dyan rakhe aap ushi naam ke bank ka coad de jis naam ke bank me aapka account hai.
EXAMPLE :- (state Bank of India) ka swift code (state Bank of India) ka hi hona chahiye.
Swift-BIC coad international money transfer ke liye kaam ata hai.
Aapko bahar desh se money transfer karbane ke liye Swift-BIC coad dena jaroori hota hai.
Aapko apne google adsense ke account ke sath apna bank account link karne ke liye in sab chijon ki jaroorat hoti hai.
Toa agar aapne yeh sab Jankari hasil kar li hai, toa chaliye ab sikh lete hai ke kaise apne adsense account me apne bank account lko add karna hai.
Bus aap dyan se mujhe step by step follow kariye.
. Mobile heat kyun hota hai,heating solutions
. YouTube go kya hai
. Blog,Blogger,Blogging kya hai
. Internet se paise kaise kamay
. Aadhar card ka status kaise check kare
(Google Adsense Se Apna Bank Account kaise Jode)
Google Adsense Account me apna bank account add karne ke liye,sabse pahle apne adsense account me login kar le.
Step.1 : Adsense Account me login hone ke baad,sabse pahle aap yahan par 3 doat (bindu) hai,ushpar click kariye. Aap upar image me dekh sakte hai.
Step.2 : Aub yahan par payment par click kariye.
Step.3 : Aub yahan par transaction history ka page open hoga,yahan par aap apni payable earning ko dekh sakte hai,jitana payment yahan par show hoga, utna payment aap apne bank account me transfer kar sakte hai.
Step.4 : How you get paid ke samne manager par click kariye.
Yahan par click karte hi payment setting ka page opne hoga.
Step.5 : Add anew payment method par click kariye.
Step.6 : Ab yahan par ek form opne hoga, jisme aapko apne bank account ki puri sahi sahi details bharni hai.
Ish form ko bharte samay koi bhi galti na kare,nahi toa aapko apki payment milne me paresani ho sakti hai.
Aapka adsense account ka naam aur aapka bank account me naam bhi bilkul same hi hona chahiye.
. Amazon se paise kaise kamay
. YouTube ka url link kaise change kare
. Email id kaise banay
. Facebook account kaise banay
. Google par account kaise banay
No.1 = ishme apna naam bhariye.
No.2 = Ishme apne bank ka naam bhariye.
No.3 = ishme apne bank ka IFSC COAD bhariye.
No.4 = ishme Swift-BIC COAD bhariye.
No.5 = ishme apna bank account number bhariye.
No.6 = ishme phir se apna bank account number bhariye.
Note :- Bhari hui sari jankari ko ek baar fhir se check jaroor kar le.
No.7 = Aub save par click kariye.
. Hybrid sim slot bale mobile phone me 2 sim ke sath micro sd card kaise lagay
. Mobile aur tower ke kya kya nuksaan hai hum par
. How to use jio security in hindi
Congratulations : Ab apka bank account aapke adsense account me save ho chuka hai.aub agar aap koi bank account bhi add karna chate hai,toa same tarike se kar sakte hai,aur aub agar aap ishi bank account me apni adsense ki payment ko har baar lena chahte hai, toa "Set this payment method as primary " par click kariye.
Aub jub bhi aapke adsense ke account me 100$ se upar ki payment hogi, toa bho apne aap hi har month ki 21st ko aapke bank account me transfer kar di jayegi.
Toa friend aub sikh chuke hai,ke kaise apne Google adsense account me apne bank account ko add karte hai,agar aapko yeh jankari pasand ayi ho toa ise apne friends aur family members ke sath share kariye,aur humain follow kare.Thankyou.
Bhai muje apne abnk account details add karne me problem aa rhi please help me.
ReplyDeletemain apne bank ki sabhi jankari sahi se fill kar rha hun but phir bhi "Invaild Input" aa rha hai.
please help me
Hajari bhai aap kisi aur browser jaise (opera)(firefox) me login karke apne bank account ka method add kariye.100% ho jayega.
Deletemeri ik payment $118 ki jo january me release hui thi abhi tak nahi aayi hai but uske baad ki payment $158 ki aa gayi hai july me $118 ki payment panding kyo ho sakti koi idea ho to bataiye.
ReplyDelete