Mobile phone heat kyun hota hai

hello friends,
mobile phone heat kyun hota hai, aur mobile phone ko heat hone se kaise bachay,aaj hum ish post me yahi jankari lenge,aur sath hi janenge k humein apne smart k sath kya nahi karna chahiye, taki humara smart phone heat na ho.

Mobile phone heat hone k kya karan hai,aur mobile phone ko heat hone se kaise bachay,yehi janenge ish post me,

(Smart Phone Heat Hone K Nuksaan Kya Hai ?)

smart phone heating ki problems se kabhi na kabhi toa humara samana hota hi hai.

kahane ko toa smart phone over heating ek aam problems hai.

lekin aap jante hi honge k kai baar smart phone over heating bahut khatarnak roop le leti hai.

kya aap jante hai k over heating se aapka smart phone damage bhi ho sakta hai.

haal hi k kuch saloan me kai asi news ayi,k jub mobile phone over heating ki bajah se kai smart phone ki battery tak fat gyi.

asi bhi kai news ayi k smart phone flight me hi fat gya.

kisi ka smart phone uski hi jeb me blast ho gya.

kisi ki shop me hi mobile phone fat gya.

haybrid sim slot bale smart phone me 2 sim k sath micro sd card kaise chalay

mobile phone aur mobile tower k kya kya nuksaan hote hai hum par

over heating smart phone me ek asi problem ban gya hai, jisse costumers ko paresaniyon ka aksar samana karna padta hai.

isme koi shak nahi k over heating mobile users k liye kitana ghatak hai.

(Phone Heat Aur Overhrating Kya Hai ?)

subse pahle aapke liye yeh janna bahot jaroori hai,k phone heat hone aur over heating me kya fark hai.

jub bhi aap jayda smay tak lagataar  apne smart phone me game khel khelte  hai,ya fhir jub aapka mobile phone charging par lga hota hai, tub aapka mobile phone heat hone lagta hai.

smart phone me 35°C aur 42°C tak tamprecher ana aam baat hai.

lekin yadi tamprecher ishse jyada hai toa bho over heating hota hai.
aur yeh bahot nuksaan dayak sabit ho sakta hai.

1G,2G,3G,4G network kya hai ?

(Smart Phone Heat Kyun Hota Hai ?)

mobile phone over heating ki problems me subse bada role prosesser ka hota hai.

isi k saat snapdragon 810 aur 615 heating issues k liye hi jane jate hai.
halaki over heating k piche yehi ek kaaran nahi hai.

aap jub bhi jaroorat se jyada usage karte hai,

jaise ki jayada prosesing,jayada power bali apps k saath multitasking karte hai,ya 4k recording, hi and games ka istemaal karte hai, toa aapka smart phone jayada heat ho sakta hai.

sleek phone ki sleek battery bhi over heating ka karan banti hai.

ishliye kuch apps ki chalne ki sima ko tay kar dena chahiye.

Mobile phone k background me chalne Bali apps ko kaise close kare

mobile apps bhi iska karan banti hai.
aajkal phone me asi kai apps hoti hai, jo internet se hi chalti hai.

in apps se bhi aapka mobile phone normal se jayada prosses karta hai.
aur heating ki problems ati hai.

asi samasya se bachne k liye aap apne mobile phone me cooling apps ka istemaal kar sakte hai.

halaki ishse aapka mobile phone cool hota hai, yeh kah pana bada muskil hai.

lekin kuch application asi bhi hoti hai, jo aapke phone k background me chalne bali apps ko close kar deti hain.

asi hi ek app ka naam hai Greenify.
yeh aapke mobile phone ko jo application heat kar rahi hai,unhe simit kar deti hai.

Li-ion battery me heating ki problems tharmal runaby k karak ki bajah se bhi hoti hai.

ishse mobile phone heating aur bhi ghatak roop le leti hai.
khaskar jub mobile phone Mattel body ka ho.

aapke mobile phone ka network beek ho ush samay aap apps ko download kar rahe ho,toa bhi over heating ki problems ho sakti hai.

facebool, whatsapp,instagram par full size ki profile photo kaise lagay

internet par paise kaise kamay

Amazon se paise kaise kamay

(mobile Ko Overheating Se Kaise Bachay )

yadi aap apne smart phone ko over heating se bachana chahte hain,toa in baton  ka khaas khyal rakhiye.

     1: = kisi bhi game ko lumbe samay tak apne mobile phone me na khele.

     2: = mobile ko charging par lagakar videos na dekhen.

     3: = un sabhi apps ka kam se kam use kare jinme multitasking karte samay jayadar prosesing power lagti hai.

5 amazing websites jo aapke bahot kaam asakti hai

Blog,Blogger,Blogging kya hai ?


kabhi kabhi aapke mobile phone ki battery achi nahi hoti,agar battery me lagataar over heating ki problems arahi ho,toa samjh lijiye k sayad aapke smart phone ki battery badlane ka samay agya hai.

toa yeh thi mobile heat se related kuch jankari, asha karta hoon friends aapko yeh post jaroor pasand ayi hogi, agar pasand ayi hai toa ish post ko apne friends k sath share kariye, aur kyakraen website par humein follow kariye.ThankYou.

1 comment:

  1. Phone overheating issue is quite frustrating and I found this article really helpful. I think we need to follow the above tips to get rid of phone overheating issues. I will try them for sure.

    ReplyDelete

Please Don't Post Spam Links

Translate

Blog Archive